Mere Sabir Teri Chaukhat Ki Qasam Khata Hoon Lyrics

Mere Sabir Teri Chaukhat Ki Qasam Khata Hoon Lyrics

 

Mere Sabir Teri Chaukhat Ki Qasam Khaata Huñ

Mere Sabir Teri Chaukhat Ki Qasam Khaata Huñ

Mere Sabir Sabir-Sabir..
Mere Sabir Sabir-Sabir..

 

Jalwa Dikhaado Saabiri Makhdoom Saabir Kaliyari
Ho Jaaye Hajj E Akbari Makhdoom Saabir Kaliyari

Mere Sabir Sabir-Sabir..
Mere Sabir Sabir-Sabir..

 

Waaqif E Israar E Haq Rabb E Majeed
Dilbar E Ganj E Shakar Baba Fareed

Mere Sabir Sabir-Sabir..
Mere Sabir Sabir-Sabir..

 

Jalwa E Shaan E Walayat Haidari
Bandaparwar Baadshah E Kaliyari

Mere Sabir Sabir-Sabir..
Mere Sabir Sabir-Sabir..

 

Makhdoom Ali Ahmad Alauddin Wali
Seerat E Husn E Nabi Soorat E Ali,
More Saabir

Mere Sabir Sabir-Sabir..
Mere Sabir Sabir-Sabir..

 

Khwaaja Moin Ka Laadla
Khwaja Qutab Ka Dilruba
Mehboob E Zohdul Ambiya, Kaun

Mere Sabir Sabir-Sabir..
Mere Sabir Sabir-Sabir..

 

Ghaus Ul Wara Ki Aal Hain
Ganj E Shakar Ke Laal Hain
Wo Hain Nishaan E Haidari, Kaun

Mere Sabir Sabir-Sabir..
Mere Sabir Sabir-Sabir..

 

Main Saabiri Hun, Bhala Kyuñ Na Naaz Ho Mujhko
Hai Nisbat Aap Ki Wajhe Nijaat Ya Saabir

Mere Sabir Sabir-Sabir..
Mere Sabir Sabir-Sabir..

 

Mere Sabir Teri Chaukhat Ki Qasam Khaata Huñ
Yaad Kaliyar Jab Aati Hai Tadap Jaata Huñ

 

Dil Tadapta Hai Jab Rauze Ki Ziyarat Ke Liye
Paak-Pattan Tere Hujre Ko Main Choom Aata Hun

 

Bhardo Bhardo Mere Saabir Meri Jholi Bhardo
Baat Rah Jaaye Ke Mangta Tera Kahlaata Huñ

Baat Rah Jaaye.. Meri Bhi
Baat Rah Jaaye.. Meri Bhi

 

Ke Tumne Badli Hain Laakhon Ki Qismateiñ Saabir

Baat Rah Jaaye.. Meri Bhi
Baat Rah Jaaye.. Meri Bhi

 

Jo Bhi Dar Pe Saayil Aata
Mann Ki Muraadein Sab Hai Paata
Main Bhi Aap Ka Huñ Kehlaata
Bheek Mujhe De De Saabir

Baat Rah Jaaye.. Meri Bhi
Baat Rah Jaaye.. Meri Bhi

Baat Rah Jaaye Ke Mangta Tera Kahlaata Huñ

 

Aarzu Yeh Hai Ke Maut Aaye Tere Kooche Mein
Rashq E Jannat Tere Kaliyar Ki Gali Paata Huñ

 

Is Ameer E Dil E Khasta Ki Tumhein Laaj Rahe
Sabiri Khaadimoñ Meiñ Maiñ Bhi Gina Jaata Huñ

Mere Sabir Teri Chaukhat Ki Qasam Khaata Huñ

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *