Pyare Nabi Ki Aankh Ke Taare Hussain Hain Ek Nihayat Hi Mashhoor Aur Dilkash Manqabat-E-Pak Jise Maulana Bilal Raza Qadri Ne Padh Kar Dil Ko Mehka Diya Hai. Is Haseen Kalam Ke Zariye Pyare Aaqa Ke Shehzade Hazrat Imam Hussain Ki Shaan Aur Un Ke Azm-O-Isteqamat Ko Behad Pyaare Andaz Mein Bayan Kiya Gaya Hai.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Pyare Ki Aankh Ke Taare Hussain Hain |
| Poet / Writer | Ubaid |
| Category | Manqabat |
| Naatkhawan / Reciter | Maulana Bilal Raza Qadri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Pyare Nabi Ki Aankh Ke Taare Hussain Hain Lyrics In Roman
Pyare Ki Aankh Ke Taare Hussain Hain
Maula Ali Ke Raaj-Dulare Hussain Hain
Dil Ko Qarar Milta Hai Naam-E-Hussain Se
Wallah Hum Ko Jaan Se Pyare Hussain Hain
Raushan Ki Jin Se Ishq-O-Wafa Ki Tamam Raah
Chashm-E-Talab Mein Aise Minare Hussain Hain
Wo Azm Hausla Hai Ki Jis Ki Nahin Misaal
Sabr-O-Riza Ke Baab Mein Nyare Hussain Hain
Zalim Yazid Mit Gaya, Zinda Rahe Hussain
Ye Sochna Ghalat Hai Ki Haare Hussain Hain
Koi Kami Hussain Mein Mumkin Ho Kis Tarah
Jab Dast-E-Mustafa Ke Saware Hussain Hain
Wo Kaun Hai Jo Jaan Hai Islam Ki, Ubaid!
Pyare Hussain Hain, Mere Pyare Hussain Hain
Pyare Nabi Ki Aankh Ke Taare Hussain Hain Lyrics In Hindi
प्यारे नबी की आँख के तारे हुसैन हैं
मौला अली के राज-दुलारे हुसैन हैं
दिल को क़रार मिलता है नाम-ए-हुसैन से
वल्लाह हम को जान से प्यारे हुसैन हैं
रौशन कि जिन से इश्क़-ओ-वफ़ा की तमाम राह
चश्म-ए-तलब में ऐसे मिनारे हुसैन हैं
वो अज़्म हौसला है कि जिस की नहीं मिसाल
सब्र-ओ-रिज़ा के बाब में न्यारे हुसैन हैं
ज़ालिम यज़ीद मिट गया, ज़िंदा रहे हुसैन
ये सोचना ग़लत है कि हारे हुसैन हैं
कोई कमी हुसैन में मुमकिन हो किस तरह
जब दस्त-ए-मुस्तफ़ा के सवारे हुसैन हैं
वो कौन है जो जान है इस्लाम की, उबैद!
प्यारे हुसैन हैं, मेरे प्यारे हुसैन हैं
Pyare Nabi Ki Aankh Ke Taare Hussain Hain Lyrics In Urdu
پیارے نبی کی آنکھ کے تارے حسین ہیں
مولا علی کے راج دلارے حسین ہیں
دل کو قرار ملتا ہے نامِ حسین سے
واللہ ہم کو جان سے پیارے حسین ہیں
روشن کہ جن سے عشق و وفا کی تمام راہ
چشمِ طلب میں ایسے مینارے حسین ہیں
وہ عزم حوصلہ ہے کہ جس کی نہیں مثال
صبر و رضا کے باب میں نیارے حسین ہیں
ظالم یزید مٹ گیا، زندہ رہے حسین
یہ سوچنا غلط ہے کہ ہارے حسین ہیں
کوئی کمی حسین میں ممکن ہو کس طرح
جب دستِ مصطفیٰ کے سوارے حسین ہیں
وہ کون ہے جو جان ہے اسلام کی، عبید!
پیارے حسین ہیں، میرے پیارے حسین ہیں