Sufi-e-Azam Hazrat Bedam Shah Warsi Alaihirrahma ka ye nihayat hi roohani aur aqeedat se labrez kalam dilon ko eemaan ki roshni bakhshta hai. Is naat-e-paak me Huzoor Rasool-e-Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ki azeem-o-buland shaan aur unke deedaar ki pyaas ko nihayat hi sheereen aur asardaar andaz me pesh kiya gaya hai. Aaiye is pakiza kalam ke zariye Tajdar-e-Haram ki bargah-e-muqaddasa me apni sachi aqeedat aur mohabbat ka nazrana pesh karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Qibla O Kaaba E Iman Rasool E Arabi |
| Poet / Writer | Bedam Shah Warsi |
| Category | Naat-e-Rasool ﷺ / Sufiana Kalam |
| Naatkhawan / Reciter | Qari Rizwan, Shahbaz & Fayyaz Qawwal |
Naat Lyrics in Roman
Qibla O Kaaba E Iman Rasool E Arabi
Do Jahañ Aap Pe Qurban Rasool E Arabi
Chaañd Ho Tum Jo, Rasoolan E Salaf Taare Hain
Sab Nabi Dil Hain To Tum Jaan Rasool E Arabi
Sadqa Hasnain Ka Rauze Pe Bulalo Mujhko
Hind Meiñ Hooñ Maiñ Pareshan Rasool E Arabi
Kis Ki Mushkil Meiñ Teri Zaat Na Aade Aayi
Tera Kis Par Nahiñ Ahsaan Rasool E Arabi
Koyi Behtar Hai To Behtar Se Bhi Behtar Tu Hai
Sabse A’ala Hai Teri Shaan Rasool E Arabi
Tera Deedar Hai Deedar E Ilahi Mujhko
Teri Ulfat Mera Eemaan Rasool E Arabi
Majma’a-E Hashr Meiñ Is Shaan Se Aaye Bedam
Haath Meiñ Ho Tera Daamaan Rasool E Arabi
Naat Lyrics in Hindi
क़िबला ओ काबा-ए-ईमान रसूल-ए-अरबी
दो जहाँ आप पे क़ुर्बान रसूल-ए-अरबी
चाँद हो तुम जो रसूलान-ए-सलफ़ तारे हैं
सब नबी दिल हैं तो तुम जान रसूल-ए-अरबी
सदक़ा हसनैन का रौज़े पे बुला लो मुझको
हिन्द में हूँ मैं परेशान रसूल-ए-अरबी
किस की मुश्किल में तिरी ज़ात न आड़े आई
तेरा किस पर नहीं अहसान रसूल-ए-अरबी
कोई बेहतर है तो बेहतर से भी बेहतर तू है
सब से आला है तिरी शान रसूल-ए-अरबी
तेरा दीदार है दीदार-ए-इलाही मुझको
तेरी उल्फ़त मिरा ईमान रसूल-ए-अरबी
मजमा-ए-हश्र में इस शान से आए बेदम
हाथ में हो तिरा दामान रसूल-ए-अरबी
Naat Lyrics in Urdu
قبلہ و کعبۂ ایمان رسول عربی ﷺ
دو جہاں آپ پہ قربان رسول عربی ﷺ
چاند ہو تم جو رسولانِ سلف تارے ہیں
سب نبی دل ہیں تو تم جان رسول عربی ﷺ
صدقہ حسنین کا روضہ پہ بلا لو مجھ کو
ہند میں ہوں میں پریشان رسول عربی ﷺ
کس کی مشکل میں تری ذات نہ آڑے آئی
تیرا کس پر نہیں احسان رسول عربی ﷺ
کوئی بہتر ہے تو بہتر سے بھی بہتر تو ہے
سب سے اعلیٰ ہے تری شان رسول عربی ﷺ
تیرا دیدار ہے دیدار الٰہی مجھ کو
تیری الفت مرا ایمان رسول عربی ﷺ
مجمعِ حشر میں اس شان سے آئے بیدم
ہاتھ میں ہو ترا دامان رسول عربی ﷺ