Nawasa-e-Rasool Maula Imam Hussain Alaihissalam ki bargah-e-ali me pesh kiya gaya ye nihayat hi pur-asar aur maqbool kalam dilon ko deeni jazbe se bhar deta hai. Is manqabat me Karbala ke maidan me haq ki khaatir shehzada-e-gulfam ki azeem qurbani aur sajde ki hifazat ko nihayat hi dil-soz andaz me bayaan kiya gaya hai. Aaiye is pakiza kalam ke zariye shaheed-e-karbala ki bargah-e-muqaddasa me apni sachi aqeedat aur mohabbat ka nazrana pesh karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Qurban Khud Ko Kar Ke Musalla Bacha Liya |
| Poet / Writer | Rahi Bastavi |
| Category | Manqabat |
| Naatkhawan / Reciter | Rahi Bastavi |
Naat Lyrics in Roman
qurbaan KHud ko kar ke musalla bacha liya
sar de diya husain ne, sajda bacha liya
deen-e-nabi bacha liya itna hi mat kahe.n
kahiye ‘ali ke laal ne kaa’ba bacha liya
roza, namaaz, deen-e-muhammad ki ‘azmate.n
tanha mere husain ne kya kya bacha liya
gir gir ke shah-sawaar ne nehr-e-furaat par
deen-e-rasool-e-paak ka jhanda bacha liya
Naat Lyrics in Hindi
क़ुर्बान ख़ुद को कर के मुसल्ला बचा लिया
सर दे दिया हुसैन ने, सज्दा बचा लिया
दीन-ए-नबी बचा लिया इतना ही मत कहें
कहिए ‘अली के लाल ने का’बा बचा लिया
रोज़ा, नमाज़, दीन-ए-मुहम्मद की ‘अज़मतें
तन्हा मेरे हुसैन ने क्या क्या बचा लिया
गिर गिर के शह-सवार ने नहर-ए-फ़ुरात पर
दीन-ए-रसूल-ए-पाक का झंडा बचा लिया
Naat Lyrics in Urdu
قربان خود کو کر کے مصلیٰ بچا لیا
سر دے دیا حسینؑ نے سجدہ بچا لیا
دینِ نبیؐ بچا لیا اتنا ہی مت کہیں
کہیے علیؑ کے لال نے کعبہ بچا لیا
روزہ، نماز، دینِ محمدؐ کی عظمتیں
تنہا مرے حسینؑ نے کیا کیا بچا لیا
گر گر کے شہسوار نے نہرِ فرات پر
دینِ رسولِ پاکؐ کا جھنڈا بچا لیا