Rab Ke Huzoor Sar Ko Jhukane Ka Waqt Hai || रब के हुज़ूर सर को झुकाने का वक़्त है

Khuda-e-Ta’ala ki bargah mein girya-o-zari aur nabi-e-kareem ki mohabbat se sarshaar yeh nihayat hi dildoz aur pursar kalam hai. Is paak kalam ke har ek sher mein jahan deen ki sarbulandi ka jazba hai, wahin auliya-e-kiram aur panjatan pak se aqeedat ka haseen izhaar bhi hai. Aaiye is mahan kalam ko poori aqeedat ke sath padhein aur apne dilon mein ishq-e-haq ki shama roshan karein.

Naat Information Details
Naat Title Rab Ke Huzoor Sar Ko Jhukane Ka Waqt Hai
Poet / Writer Sayyed Shabahat Husain
Category Naat & Manqabat Sharif
Naatkhawan / Reciter Muhammad Ali Faizi

Naat Lyrics in Roman

rab ke huzoor sar ko jhukaane ka waqt hai
ai momino ! KHuda ko manaane ka waqt hai

misl-e-yazeed zulm kiye jaata hai paleed
misl-e-husain sar ko kaTaane ka waqt hai

ummat ye KHasta-haal teri raah takti hai
ai aamina ke laa’l ! ye aane ka waqt hai

gustaaKHiyaa.n jo karte hai.n shaan-e-rasool me.n
auqaat un ko phir se bataane ka waqt hai

jo bhaunkte hai.n har gha.Di islaam ke KHilaaf
do chaar haath un ko lagaane ka waqt hai

sadqa ‘ata ho sayyida zahra ke naam ka
aaqa huzoor ! ham ko bachaane ka waqt hai

ye daur aap ka hai, mere peer dasta-geer !
nazar-e-karam bas ek uThaane ka waqt hai

uTTho, ai meri qaum ke jaa.n-baaz rahbaro !
naam-e-nabi pe sar ko kaTaane ka waqt hai

raaja hai tu hi hind ka, ai KHwaja-e-mu’een !
kuffaar ko ye baat bataane ka waqt hai

phir se sata rahi hai Shabaahat ko teri yaad
is ko, huzoor ! phir se bulaane ka waqt hai

Naat Lyrics in Hindi

रब के हुज़ूर सर को झुकाने का वक़्त है
ऐ मोमिनो ! ख़ुदा को मनाने का वक़्त है

मिस्ल-ए-यज़ीद ज़ुल्म किए जाता है पलीद
मिस्ल-ए-हुसैन सर को कटाने का वक़्त है

उम्मत ये ख़स्ता-हाल तेरी राह तकती है
ऐ आमिना के ला’ल ! ये आने का वक़्त है

गुस्ताख़ियाँ जो करते हैं शान-ए-रसूल में
औक़ात उन को फिर से बताने का वक़्त है

जो भौंकते हैं हर घड़ी इस्लाम के ख़िलाफ़
दो चार हाथ उन को लगाने का वक़्त है

सदक़ा ‘अता हो सय्यिदा ज़हरा के नाम का
आक़ा हुज़ूर ! हम को बचाने का वक़्त है

ये दौर आप का है, मेरे पीर दस्त-गीर !
नज़र-ए-करम बस एक उठाने का वक़्त है

उट्ठो, ऐ मेरी क़ौम के जाँ-बाज़ रहबरो !
नाम-ए-नबी पे सर को कटाने का वक़्त है

राजा है तू ही हिन्द का, ऐ ख़्वाजा-ए-मु’ईन !
कुफ़्फ़ार को ये बात बताने का वक़्त है

फिर से सता रही है शबाहत को तेरी याद
इस को, हुज़ूर ! फिर से बुलाने का वक़्त है

Naat Lyrics in Urdu

رَب کے حضور سر کو جھکانے کا وقت ہے
اے مومنو! خدا کو منانے کا وقت ہے

مثلِ یزید ظلم کئے جاتا ہے پلید
مثلِ حسین سر کو کٹانے کا وقت ہے

امت یہ خستہ حال تیری راہ تکتی ہے
اے آمنہ کے لال! یہ آنے کا وقت ہے

گستاخیاں جو کرتے ہیں شانِ رسول میں
اوقات ان کو پھر سے بتانے کا وقت ہے

جو بھونکتے ہیں ہر گھڑی اسلام کے خلاف
دو چار ہاتھ ان کو لگانے کا وقت ہے

صدقہ عطا ہو سیدہ زہرا کے نام کا
آقا حضور! ہم کو بچانے کا وقت ہے

یہ دور آپ کا ہے، میرے پیر دستگیر!
نظرِ کرم بس ایک اٹھانے کا وقت ہے

اٹھو، اے میری قوم کے جانباز رہبرو!
نامِ نبی پہ سر کو کٹانے کا وقت ہے

راجا ہے تو ہی ہند کا، اے خواجہ معین!
کفار کو یہ بات بتانے کا وقت ہے

پھر سے ستا رہی ہے شباہت کو تیری یاد
اس کو، حضور! پھر سے بلانے کا وقت ہے

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top