Akhtar Kashif sahab ka likha hua aur unhi ki pyari aawaz mein gaya hua yeh behad hi maqbool aur imaan-afroz kalam dilon ko garma deta hai.
Is naat-e-paak ke zariye nabi ki bargah mein adab, ghausia wa raza ke sabaq aur ishq-e-mustafa ki sachai ko nihayat hi nidar aur asardaar andaz mein pesh kiya gaya hai.
Aaiye is josh-e-imaan aur mohabbat-e-rasool se labrez kalam ke pakiza ash’aar ko padhein aur apne dilon ko ishq-e-mustafa ke noor se munawwar karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Sar Jhukaye Hain Farishte Hazri Kya Cheez Hai |
| Poet / Writer | Akhtar Kashif |
| Category | Naat Shareef |
| Naatkhawan / Reciter | Akhtar Kashif |
Naat Lyrics in Roman
Sar jhukaye hain farishte, haziri kya cheez hai
Allah Allah un ke dar ki naukari kya cheez hai
Bulbul-e-sidra bhi un ki zaat se waqif nahi
Do take ka deobandi maulvi kya cheez hai
Maut jab aana to aana rauza-e-sarkar par
Phir bataunga tujhe mein zindagi kya cheez hai
Aala Hazrat se mila hai naat-goi ka mizaaj
Aap ne samjha diya ki sha’iri kya cheez hai
Yaar-e-ghaar-e-mustafa se poochhna, Kashif! kabhi
Ishq kehte hain kise aur aashiqi kya cheez hai
Naat Lyrics in Hindi
सर झुकाए हैं फ़रिश्ते, हाज़िरी क्या चीज़ है
अल्लाह अल्लाह उन के दर की नौकरी क्या चीज़ है
बुलबुल-ए-सिदरा भी उन की ज़ात से वाक़िफ़ नहीं
दो टके का देवबंदी मौलवी क्या चीज़ है
मौत जब आना तो आना रौज़ा-ए-सरकार पर
फिर बताऊँगा तुझे मैं ज़िंदगी क्या चीज़ है
आ’ला हज़रत से मिला है ना’त-गोई का मिज़ाज
आप ने समझा दिया कि शा’इरी क्या चीज़ है
यार-ए-ग़ार-ए-मुस्तफ़ा से पूछना, काशिफ़ ! कभी
‘इश्क़ कहते हैं किसे और ‘आशिक़ी क्या चीज़ है
Naat Lyrics in Urdu
سر جھکائے ہیں فرشتے، حاضری کیا چیز ہے
اللہ اللہ ان کے در کی نوکری کیا چیز ہے
بلبل سدرہ بھی ان کی ذات سے واقف نہیں
دو ٹکے کا دیوبندی مولوی کیا چیز ہے
موت جب آنا تو آنا روضہ سرکار پر
پھر بتاؤں گا تجھے میں زندگی کیا چیز ہے
اعلیٰ حضرت سے ملا ہے نعت گوئی کا مزاج
آپ نے سمجھا دیا کہ شاعری کیا چیز ہے
یار غار مصطفیٰ سے پوچھنا، کاشف! کبھی
عشق کہتے ہیں کسے اور عاشقی کیا چیز ہے