Us Ko Kab Ho Gul-o-Gulzaar ‘Azeez


Yeh Maddaah-Ul-Habeeb Hazrat Maulana Jameel-Ur-Rahman Qadri Alaihirrahma Ka Likha Hua Ek Nihayat Hi Ruhani Aur Aashiqana Naat-E-Pak Hai. Is Kalam-E-Mubaarak Mein Ishq-E-Mustafa Aur Madina Munawwara Ki Aqeedat Ko Nihayat Hi Dilkash Andaaz Mein Pesh Kiya Gaya Hai. Chaliye Is Mukammal Naat Ke Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Script Mein Parhte Hain.

Naat InformationDetails
Naat TitleUs Ko Kab Ho Gul-o-Gulzaar ‘Azeez
Poet / WriterHazrat Jameel-ur-Rahman Qadri
CategoryNaat-e-Paak
Naatkhawan / ReciterOwais Raza Qadri
Book NameQabaalah-e-Bakhshish

Us Ko Kab Ho Gul-o-Gulzaar ‘Azeez Lyrics In Roman

Us Ko Kab Ho Gul-O-Gulzaar ‘Azeez
Haiñ Madine Ke Jisay Khaar ‘Azeez

Ho Chaman Tujh Ko Mubaarak Bulbul
Mujh Ko Taiba Ka Hai Gulzaar ‘Azeez

Ay, Tabeebo! Na Karo Mera ‘Ilaaj
Mujh Ko Hai ‘Ishq Ka Aazaar ‘Azeez

Baar-Baar Aate Thay Sidra Se Ameeñ
Ke Hai Un Ko Dar-E-Sarkaar ‘Azeez

Kaisi Taqdeer Ke Allah Ko Hai
Ummat-E-Ahmad-E-Mukhtaar ‘Azeez

Naichari, Raafzi-O-Wahabi
Sunniyoñ Ko Nahiñ Zinhaar ‘Azeez

Ye Haiñ Sab Dushman-E-Allah-O-Rasool
Kaise Rakhe Inheñ Deendaar ‘Azeez

Ahl-E-Sunnat Ko Hai Jannat Marghoob
Awr Bad-Mazhaboñ Ko Naar ‘Azeez

Hoor Kya Dekhuñ Jameel-E-Razvi
Mujh Ko Hai Shaah Ka Deedaar ‘Azeez

Us Ko Kab Ho Gul-o-Gulzaar ‘Azeez Lyrics In Hindi

उसको कब हो गुल ओ गुलज़ार अज़ीज़
हैं मदीने के जिसे ख़ार अज़ीज़

हो चमन तुझको मुबारक बुलबुल
मुझको तैबा का है गुलज़ार अज़ीज़

ऐ, तबीबो! ना करो मेरा इलाज
मुझको है इश्क़ का आज़ार अज़ीज़

बार बार आते थे सिदरा से अमीन
के है उनको दर-ए-सरकार अज़ीज़

कैसी तक़दीर के अल्लाह को है
उम्मत-ए-अहमद-ए-मुख़्तार अज़ीज़

नैचरी, राफ़्ज़ी ओ वहाबी
सुन्नियों को नहीं ज़िंहार अज़ीज़

ये हैं सब दुश्मन-ए-अल्लाह ओ रसूल
कैसे रक्खे इन्हें दीनदार अज़ीज़

अहल-ए-सुन्नत को है जन्नत मरग़ूब
और बद-मज़हबों को नार अज़ीज़

हूर क्या देखूँ जमील-ए-रज़वी
मुझको है शाह का दीदार अज़ीज़

Us Ko Kab Ho Gul-o-Gulzaar ‘Azeez Lyrics In Urdu

اُس کو کب ہو گل و گلزار عزیز
ہیں مدینے کے جسے خار عزیز

ہو چمن تجھ کو مبارک بلبل
مجھ کو طیبہ کا ہے گلزار عزیز

اے، طبیبو! نہ کرو میرا علاج
مجھ کو ہے عشق کا آزار عزیز

بار بار آتے تھے سدرہ سے امیں
کہ ہے ان کو درِ سرکار عزیز

کیسی تقدیر کہ اللہ کو ہے
امتِ احمدِ مختار عزیز

نیچری، رافضی و وہابی
سنیوں کو نہیں زنہار عزیز

یہ ہیں سب دشمنِ اللہ و رسول
کیسے رکھے انہیں دیندار عزیز

ہلِ سنت کو ہے جنت مرغوب
اور بد مذہبوں کو نار عزیز

حور کیا دیکھوں جمیلِ رضوی
مجھ کو ہے شاہ کا دیدار عزیز

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top