Zamana Haj Ka Hai Jalwa Diya Hai Lyrics

Zamana Haj Ka Hai Jalwa Diya Hai Lyrics

 

Zamana Haj Ka Hai Jalwa Diya Hai Lyrics

Shayar: Ala Hazrat | Naat e Paak

Naat khwan: Abdul Rahman Attari, Rafique Raza Qadri, Sayyad Abdul Wasi, Mahmood Attari, Noor Alam Attari.

Hadaaiqe Bakhshish Part 1

 

 

ज़माना ह़ज का है जल्वा दिया है शाहिदे गुल को

इलाही त़ाक़ते परवाज़ दे परहाए बुलबुल को

Zamana Haj Ka Hai Jalwa Diya Hai Shahid e Gul Ko

Ilahi Taaqte Parwaaz De Parha e Bulbul Ko

 

 

बहारें आईं जोबन पर घिरा है अब्र रह़मत का

लबे मुश्ताक़ भीगें दे इजाज़त साक़िया मुल को

Bahare(n) Aayee(n) Joban Par Ghira Hai Abr Rehmat Ka

Labe Mushtaaq Bheege(n) De ijazat Saaqiya Mul Ko

 

 

मिले लब से वोह मुश्कीं मोहर वाली दम में दम आए

टपक सुन कर कुमे ई़सा कहूं मस्ती में क़ुलक़ुल को

Mile lab Se Woh Mushqee(n) Mohar Waali Dum Me Dum Aaye

Tapak Sun Kar Qume E-saa Kahu(n) Masti Me Qulqul Ko

 

 

मचल जाउं सुवाले मुद्दआ़ पर थाम कर दामन

बहक्ने का बहाना पाऊं क़स्दे बे तअम्मुल को

Machal Jaau(n) Suvaale Mudda’aa Par Thaam Kar Daaman

Behekne Ka Bahanaa Paau(n) Qasde Be Ta’Ammul Ko

 

 

दुआ कर बख़्ते ख़ुफ़्ता जाग हंगामे इजाबत है

हटाया सुब्ह़े रुख़ से शाह ने शबहा ए काकुल को

Dua Kar Bakhte Khufta Jaag Hungame ijaabat Hai

Hataya Sub’he Rukh Se Shaah Ne Shab-Ha-e Kaakul Ko

 

 

ज़बाने फ़ल्सफ़ी से अम्न ख़र्क़ो इल्तियाम असरा

पनाहे दौरे रह़मत हाए यक साअ़त तसल्सुल को

Zabane Falsafi Se Amn Kharqo iltiyaam Asara

Panahe Daur e Rehmat Haaye Yak Saa’at Tasal-sul Ko

 

 

दो शम्बा मुस्तफ़ा का जुम्अ़ ए आदम से बेहतर है

सिखाना क्या लिह़ाजे हैसियत ख़ूए तअम्मुल को

Do Shamba Mustafa Ka Jum’aa-e Aadam Se Behtar Hai

Sikhana kya Lihaaje Haisiyat Khoo e Ta’ammul Ko

 

 

वुफूरे शाने रह़मत के सबब जुरअत है ऐ प्यारे

न रख बहरे खुदा शरमिन्दा अ़र्जे़ बे तअम्मुल को

Wufoore Shaane Rehmat Ke Sabab Jur’at Hai Ey Pyare

Na Rakh Bahare Khuda Sharminda Arje Be Ta-Ammul Ko

 

 

परेशानी में नाम उनका दिले सद चाक से निकला

इजाबत शाना करने आई गेसूए तवस्सुल को

Pareshani Me Naam Unka Dile Sad Chaak Se Nikla

Ijaabat Shaana Karne Aayee Gesuye Tawas’sul Ko

 

 

रज़ा नुह सब्ज़ए गर्दूं हैं कोतल जिस के मौकिब के

कोई क्या लिख सके उसकी सुवारी के तजम्मुल को

RAZA Nuh Subza e Gardoo(n) Hein Kotal Jiske Maukib Ke

Koi Kya Likh Sake Uski Suwari Ke Tajammul Ko

 

Tafseer Ibne Abbas 3 Vol Set Urdu PDF Book Download

Koi Saleeqa He Arzoo Ka Na Bandagi Meri Bandagi He Naat Lyrics

Ey Shahen Shahe Madina Lyrics

Kiya hai Hijr Ke Ehsaas Ne Udaas Mujhe Lyrics

KOI GUL BAQI RAHEGA NA CHAMAN NAAT LYRICS

Lelo Lelo Salaam Ab Hamara Lyrics

DIL MAIN ISHQ E NABI KI HO AISI LAGAN NAAT LYRICS

Mere Aaqa Ki Aamad Ho rahi Hai lyrics

C’MON EVERYBODY LYRICS

مدینے سے بلاوا آرہا ہے

BEQARAARI THI NEEND AA GAYI NAAT LYRICS

naimatein baant ta jis simt woh zeeshan gaya lyrics

Aaqa Le Lo Salaam Ab Hamara Salaam Naat Lyrics

 

Leave a Reply