Watan ki hifazat me apni jaano ka nazrana pesh karne wale muqaddas shaheedon ki shaan me Mushir Kazmi ka likha ye ek behad hi maqbool aur pur-asar nasheed hai. Is kalam me shuhada ki azmat, unki shuja’at aur unhe milne wale azeem roohani martabe ko nihayat hi jazbati aur khubsurat andaaz me bayaan kiya gaya hai. Aaiye is behad noorani aur shandar kalam ke mukammal aur saaf lyrics ko Roman, Hindi aur Urdu zabaan me padhte hain.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Aye Rah E Haq Ke Shaheedon |
| Poet / Writer | Mushir Kazmi |
| Category | Patriotic Nasheed / Manqabat Shuhada |
| Naatkhawan / Reciter | Naseem Begum, Hafiz Ghulam Mustafa Qadri, Amjad Baltistani, etc. |
Naat Lyrics in Roman
Ai Raah-E-Haq Ke Shaheedo! Wafa Ki Tasweero!
Tumhen Watan Ki Hawaaen Salaam Kehti Hain
Lagaane Aag Jo Aae Thae Aashiyaane Ko
Wo Sho’le Apne Lahoo Se Bujha Diye Tum Ne
Bacha Liya Hai Yateemi Se Kitne Phoolon Ko
Suhaag Kitni Bahaaron Ke Rakh Liye Tum Ne
Tumhen Chaman Ki Fazaae.N Salaam Kehti Hain
Ai Raah-E-Haq Ke Shaheedo! Wafa Ki Tasweero!
Chale Jo Hoge Shahaadat Ka Jaam Pee Kar Tum
Rasool-E-Paak Ne Baaho.N Me.N Le Liya Hoga
‘Ali Tumhaari Shujaa’at Pe Jhoomte Honge
Husain-E-Paak Ne Irshaad Ye Kiya Hoga
Tumhen Khuda Ki Razaae.N Salaam Kehti Hain
Ai Raah-E-Haq Ke Shaheedo! Wafa Ki Tasweero!
Janaab-E-Faatima, Jigar-E-Rasool Ke Aage
Shaheed Ho Ke Kiya Maa.N Ko Surkh-Roo Tum Ne
Janaab-E-Hazrat-E-Zainab Gawaahi Deti Hain
Shaheedo! Rakhi Hai Behno.N Ki Aabroo Tum Ne
Watan Ki Betiyaan, Maae.N Salaam Kehti Hain
Ai Raah-E-Haq Ke Shaheedo! Wafa Ki Tasweero!
Naat Lyrics in Hindi
ऐ राह-ए-हक़ के शहीदो! वफ़ा की तस्वीरो!
तुम्हें वतन की हवाएँ सलाम कहती हैं
लगाने आग जो आए थे आशियाने को
वो शो’ले अपने लहू से बुझा दिए तुम ने
बचा लिया है यतीमी से कितने फूलों को
सुहाग कितनी बहारों के रख लिए तुम ने
तुम्हें चमन की फ़ज़ाएँ सलाम कहती हैं
ऐ राह-ए-हक़ के शहीदो! वफ़ा की तस्वीरो!
चले जो होगे शहादत का जाम पी कर तुम
रसूल-ए-पाक ने बाहों में ले लिया होगा
‘अली तुम्हारी शुजा’अत पे झूमते होंगे
हुसैन-ए-पाक ने इरशाद ये किया होगा
तुम्हें ख़ुदा की रज़ाएँ सलाम कहती हैं
ऐ राह-ए-हक़ के शहीदो! वफ़ा की तस्वीरो!
जनाब-ए-फ़ातिमा, जिगर-ए-रसूल के आगे
शहीद हो के किया माँ को सुर्ख़-रू तुम ने
जनाब-ए-हज़रत-ए-ज़ैनब गवाही देती हैं
शहीदो! रखी है बहनों की आबरू तुम ने
वतन की बेटियाँ, माएँ सलाम कहती हैं
ऐ राह-ए-हक़ के शहीदो! वफ़ा की तस्वीरो!
Naat Lyrics in Urdu
اے راہِ حق کے شہیدو! وفا کی تصویرو!
تمہیں وطن کی ہوائیں سلام کہتی ہیں
لگانے آگ جو آئے تھے آشیانے کو
وہ شعلے اپنے لہو سے بجھا دیئے تم نے
بچا لیا ہے یتیمی سے کتنے پھولوں کو
سہاگ کتنی بہاروں کے رکھ لئے تم نے
تمہیں چمن کی فضائیں سلام کہتی ہیں
اے راہِ حق کے شہیدو! وفا کی تصویرو!
چلے جو ہو گے شہادت کا جام پی کر تم
رسولِ پاکؐ نے باہوں میں لے لیا ہوگا
علیؑ تمہاری شجاعت پہ جھومتے ہوں گے
حسینِ پاکؑ نے ارشاد یہ کیا ہوگا
تمہیں خدا کی رضائیں سلام کہتی ہیں
اے راہِ حق کے شہیدو! وفا کی تصویرو!
جنابِ فاطمہؑ، جگرِ رسولؐ کے آگے
شہید ہو کے کیا ماں کو سرخرو تم نے
جنابِ حضرتِ زینبؑ گواہی دیتی ہیں
شہیدو! رکھی ہے بہنوں کی آبرو تم نے
وطن کی بیٹیاں، مائیں سلام کہتی ہیں
اے راہِ حق کے شہیدو! وفا کی تصویرو!