saaya bhi saath jab chhor jaaye aisi hai tanhaayi Lyrics

saaya bhi saath jab chhor jaaye aisi hai tanhaayi Lyrics

 

 

saaya bhi saath jab chhor jaaye aisi hai tanhaayi
saaya bhi saath jab chhor jaaye
aisi hai tanhaayi
rona chaahun toh aansu na aaye
aisi hai tanhaayi

jo aise chhor ke mehboob jaaye
toh jeene se na kyun dil hoob jaaye

paaya hamne yeh bin tere
ranj ki raahein aur gham ke andhere
wo bhi toh hamse kho gaye haaye
aisi hai tanhaayi

yaad aate hain beete zamaane
jab tum aaye the hamko manaane
ab toh dil ruthe dard manaaye
aisi hai tanhaayi

Leave a Reply