Aseero Ke Mushkil Kusha Gaus e Aazam Naat Lyrics
Aseero Ke Mushkil Kusha Gaus e Aazam
Faqeeron Ke Haajat Rawaa Gaus e Aazam
Ghira Hai Balaaoñ Meiñ Bandaa Tumhara
Madad Ke Liye Aao Ya Gaus E Aazam
Tere Haath Meiñ Haath Maine Diya Hai
Tere Haath Hai Laaj Ya Gaus E Azam
Mureedoñ Ko Khatra Nahiñ Behre Gam Se
Ke Bede Ke Haiñ Naakhuda Gaus E Azam
Tumheeñ Dukh Suno Apne Aafat Zadoñ Ka
Tumheeñ Dard Ki Do Dawa Gaus E Aazam
Bhañwar Meiñ Phansa Hai Hamara Safeena
Bachaa Gaus E Aazam Bachaa Gaus E Aazam
Jo Dukh Bhar Rahaa Hooñ Jo Gam Seh Rahaa Hooñ
Kahooñ Kis Se Tere Siwa Gaus E Aazam
Zamaane Ke Dukh Dard Ki Ranj O Gam Ki
Tere Haath Meiñ Hai Dawaa Gaus E Azam
Agar Sultanat Ki Hawas Ho Faqeeroñ
Kaho “Shai Al Lillah” Ya Gaus E Aazam
Nikaala Hai Pehle Tho Doobe Huwoñ Ko
Aur Ab Doobtoñ Ko Bacha Gaus E Aazam
Jise Khalq Kehti Hai Pyaara Khuda Ka
Usi Ka Hai Thu Laadla Gaus E Aazam
Phañsa Hai Tabaahi Meiñ Beda Hamaara
Sahara Lagaa Dhu Zara Ghous E Aazam
Mashaaikh Jahaañ Aaye Bahr E Gadaai
Wo Hai Teri Daulat Saraa Gaus E Aazam
Meri Mushkiloñ Ko Bhi Aasan Kijiye
Ke Haiñ Aap Mushkil Kusha Gaus E Aazam
Wahaañ Sar Jhukaate Haiñ Sab Uñche Uñche
Jahaañ Hai Tera Naqsh E Paa Gaus E Aazam
Qasam Hai Ke Mushkil Ko Mushkil Na Paaya
Kaha Hum Ne Jis Waqt Yaa Gaus E Aazam
Muje Apni Ulfat Meiñ Aisaa Guma De
Na Paaoñ Phir Apna Pataa Gaus E Aazam
Bachaale Gulaamoñ Ko Majbooriyoñ Se
Ke Tu Abd E Qaadir Hai Yaa Gaus E Aazam
Kahe Kis Se Jaakar Hasan Apne Dil Ki
Suney Kaun Tere Siwaa Gaus E Aazam