Aaj bhi zainab ki aati hai sada bhai hussain, tera chehra teri aankhein bhool kab payi hussain. Is kalam ke har ek misre me Karbala ke mushkil safar, Bibi Zainab ki be-panah tadap, aur maqtal me bhai ki laash par unki aamad ka behad rula dene wala bayaan hai. Aaiye Naved sahab ke likhe is rooh-farsa aur dard-naak nohe ke mukammal lyrics ko Roman, Hindi aur Urdu me baghour mulaiza farmayein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Aaj Bhi Zainab Ki Aati Hai Sada Bhai Hussain |
| Poet / Writer | Naved |
| Category | Shia Noha (Elegiac Lament) |
| Naatkhawan / Reciter | Various Noha Khwans / Nadeem Sarwar |
Naat Lyrics in Roman
aaj bhi zainab ki aati hai sada bhai hussain
tera chehra teri aankhein bhool kab payi hussain
chalte naaqe se giraya khud ko jalti rayt par
ghutniyo ke bal mai teri laash tak aayi hussain
bas mai ghabrayi thi khanjar tujhpe chalta dekh kar
phir kisi mushkil mei ghir kar mai na ghabrayi hussain
kaun tha jo marne walon mein nahi tha khubru
bhoolne baithi to kis kis ki na yaad aayi hussain
beh rahe thay aankh se aansu teri rukhsat ke waqt
phir koi aansu na tapka aankh pathrayi hussain
haath may kooze liye sab aasman takte rahe
abr ne ek boond pani ki na barsayi hussain
door uftada safar se laut kar maine naved
thanda pani jab piya bas teri yaad aayi hussain
Naat Lyrics in Hindi
आज भी ज़ैनब की आती है सदा भाई हुसैन
तेरा चेहरा तेरी आँखें भूल कब पाई हुसैन
चलते नाके से गिराया ख़ुद को जलती रेत पर
घुटनों के बल मैं तेरी लाश तक आई हुसैन
बस मैं घबराई थी ख़ंजर तुझ पे चलता देख कर
फिर किसी मुश्किल में घिर कर मैं न घबराई हुसैन
कौन था जो मरने वालों में नहीं था ख़ूब-रू
भूलने बैठी तो किस किस की न याद आई हुसैन
बह रहे थे आँख से आँसू तेरी रुख़्सत के वक़्त
फिर कोई आँसू न टपका आँख पथराई हुसैन
हाथ में कूज़े लिए सब आसमाँ तकते रहे
अब्र ने इक बूँद पानी की न बरसाई हुसैन
दूर उफ़्तादा सफ़र से लौट कर मैंने नवीद
ठंडा पानी जब पिया बस तेरी याद आई हुसैन
Naat Lyrics in Urdu
آج بھی زینبؑ کی آتی ہے صدا بھائی حسینؑ
تیرا چہرہ تیری آنکھیں بھول کب پائی حسینؑ
چلتے ناقے سے گرایا خود کو جلتی ریت پر
گھٹنیوں کے بل میں تیری لاش تک آئی حسینؑ
بس میں گھبرائی تھی خنجر تجھ پہ چلتا دیکھ کر
پھر کسی مشکل میں گھر کر میں نہ گھبرائی حسینؑ
کون تھا جو مرنے والوں میں نہیں تھا خوب رُو
بھولنے بیٹھی تو کس کس کی نہ یاد آئی حسینؑ
بہہ رہے تھے آنکھ سے آنسو تیری رخصت کے وقت
پھر کوئی آنسو نہ ٹپکا آنکھ پتھرائی حسینؑ
ہاتھ میں کوزے لیے سب آسماں تکتے رہے
ابر نے اک بوند پانی کی نہ برسائی حسینؑ
دُور افتادہ سفر سے لوٹ کر میں نے نویدؔ
ٹھنڈا پانی جب پیا بس تیری یاد آئی حسینؑ