Ahmed Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi Naat Lyrics

Ahmed Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi Naat Lyrics

 

 

Ahmed Raza Ka Taza Gulistan Hai Aaj Bhi

Khursheed Ilm Un Ka Darakhshaan Hai Aaj Bhi

 

Arsa Huwa Woh Mard E Mujahid Chala Gaya

Sunniyo Me Ek Sozish E Pinhaan Hai Aaj Bhi

 

Imaan Pa Rahaa Hai Halaawat Ki Naemate

Aur Kufr Tere Naam Se Larzaan Hai Aaj Bhi

 

Kis Tarah Itne Ilm Ke Daryaa Baha Diye

Ulamaa E Haq Ki Aql Toh Hairaan Hai Aaj Bhi

 

Maghmum Ahl E Ilm Na Ho Kyu Tere Liye

Jab Ilm Khud Hi Sar Bagareeban Hai Aaj Bhi

 

Ishq E Habib E Paak Me Dooba Huwa Kalaam

Sarmaya Nishaat Sukhandaan Hai Aaj Bhi

 

Bhar Di Dilo Me Ulfat O Azmat Rasool Ki

Joh Makhzan E Halaawat E Imaan Hai Aaj Bhi

 

Tum Kya Gaye Ke Raunak E Mehfil Chali Gayi

Sher O Adab Ki Zulf E Pareshaan Hai Aaj Bhi

 

Aalim Ki Maut Kehte Hai Aalam Ki Maut Hai

Apne Kiye Pe Maut Pasheeman Hai Aaj Bhi

 

Wabastagaan Kyu Ho Pareeshaan Un Pe Jab

Lutf O Karam Unka Damaan Hai Aaj Bhi

 

Lillah Apne Faiz Se Ab Kaam Lejiye

Fitno Ke Sar Uthaane Ka Imkaan Hai Aaj Bhi

 

Taiba Me Us Ki Zaat Salaamat Rahe Ke Joh

Teri Amaanato Ka Nighehbaan Hai Aaj Bhi

 

Mirza Saare Niyaaz Jhukaataa Hai Is Liye

Ilm O Amal Pe Aap Ka Ehsaan Hai Aaj Bhi

 

 

Leave a Reply