roze pe mustafa ke lyrics

roze pe mustafa ke lyrics

 

Roze pe mustafa ke udaasi si chayi hai
kunbe ko khoke zainab e nashaad aayi hai
arey, rokar pukari nana mai, faryaad laayi hu
mai chhod kar hussain ko jungle mein aayi hu

{Roze pe mustafa ke udaasi si chayi hai
kunbe ko khoke zainab e nashaad aayi hai}..(2)

  1. Nana ajeeb sanaye humpar guzar gaye
    ranjo alam ne gher liya hum jidhar gaye
    nana khuda ke ghar me na humko amaa’n mili
    bhai ne sheher chhod ke jungle ki raah li

  2. Nana hamare ghar ka sab asbaab lut gaya
    nana hamare sar pe na baaqi rahi rida
    nana hazaar tarha jafa ki la’eeno ne
    khaimo’n me haaye aag laga di la’eeno ne

  3. Nana shaheed hogaye bhai ke jaa nesar
    ek ek kar ke mar gaye ashaab zee weqaar
    nana bala ke bann me qayamat ka rann pada
    bhai se bhai, baap se beta bichad gaya

  4. Nana zameen karbobala laal hogayi
    qasim ki laash ghodo’n se pamaal hogayi
    nana katake shaano ko abbas margaye
    ghurbat me bhaijaan ko be aas kar gaye

  5. Nana aseer bara the aur ek thi rasan
    bandhe gaye the misle gunahgaar e khastatan
    nana hum apne haal pe rote the baar baar
    nana hamarae haal pe haste the badd sheyaar

  6. Itne me ek shaami ne nana ghazab kiya
    saydani ko kaneezi me usne talab kiya
    hoti thi laakh zillate hum dekhte rahe
    has has ke taaziyane sitam jhelte rahe

  7. Nana tabaah hoke hum aaye hai shaam se
    ek daaghe no sakina ka laaye hai shaam se
    ab tak hai neel rassi ke shaano ko dekhlo
    nana hamare tann pe nishano ko dekhlo

  8. Zainab jo roke karti thi qabr e nabi pe bayn
    tharra raha tha roza e sultan e mashraqayn
    bus khatm kar nisaar ye ghum naak daastaan
    roye hai is alam mein zamee’n aur aasmaa’n

Leave a Reply