Balaghal ula bikamalihi Lyrics

Balaghal ula bikamalihi Lyrics

 

Balaghal ula bikamalihi,
Kasha fadduja bijamalihi.
Hasunat jamiu hisaalihi,
Sallu aleyhi wa aalihi.

Jisay chaha dar pe bulaa liya,
Jisay chaha apna bana liya.
Yai baray karam ke hain faisle,
Yai baray naseeb ki baat hai.

Mein buron say laakh bura sahi,
Magar un say he mera waasta.
Meri laaj rakhna merai khuda,
Yai teray habeeb ki baat he.

Tayray zikr ki he yay barkatayn,
Merai bigray kam sanwar ga-ay.
Jahaan teri yaad ho dilnasheen,
Wahiin rahmaton ka nazool he.

Teri deed jis sko naseeb he,
Woh naseeb qaabil e deed he.
Tera daykhna meri eid he,
Tera rukh kalaam e majeed he.

Ho daruud tujh pay bhi aamina,
Terai chaand par bhi salam ho.
Teri goad kitni azeem he,
Mila tujh ko maah e tamaam he.

He ye aarzu jo ho surkhru,
Milay do jahaan ki aabru.
Meyn kahun ghulam huun apka,
Wo kahayn kay hamko qabul he.

Meri Iltija Hai Yeh Dosto,
Kabhi Tum Jo Soove Haram Chalo.
To Bana ke Sarko Qadam Chalo,
Ke Yeh Rasta Koi Aur Hai.

Ye Ghuman Tha Kahin Saal Say,
Yeh Yaqeen Hai Kahin Roz Se.
Meray Dil Se Ghumbad e Sabz Ka,
Yeh Muamla Koi Aur Hai.

Mujhe jaan se barh ke azeez dil,
Mera dard dil se azeez tar.
Hai jo dard se bhi azeez tar,
Woh mere Tabeeb ki baat hai.

Na kahin Se door hain manzilein,
Na koi qareeb ki baat hai.
Jise chahay Uss Ko nawaz de,
Yai dar-e-Habib ki baat hai.

Woh bhatak ke raah main reh gayi,
Yai machal ke darr se lipat gayi.
Woh kisi ameer ki shaan thi,
Yai kisi ghareeb ki baat hai.

 

 

Leave a Reply