Banayi Mujh Benawa Ki Bigdi Lyrics

Banayi Mujh Benawa Ki Bigdi Lyrics

 

 

Khwaja ji maharaja ji tum bado Ghareeb Nawaaz
Apna kar ke raakhiyo tohe bañh pakde ki laaj

Khwaja mujh mein awgan bahut hain
tohe kahat Ghareeb Nawaaz
Apna karke rakhiyo tohe bañh pakde ki laaj.

Churiyañ pehnayiñ, chundariya udhayi
Khaasi dulhaniya banayi
Mori churiyoñ ki laaj Khwaja rakhna
Ye to pahen layiñ, ab utran na.

Tero haath hai meri suhag Khwaja
main to jobana tum pe luta baithi.

Itna shadeed gham hai ke ehsaas-e-gham nahi
Kaise kahooñ ke aap ka mujh pe karam nahi,

Manzil mujhe mile na mile is ka gham nahi
Tum saath saath ho mere, ye bhi to kam nahi,

Ay aane wale apni jabeeñ ko jhuka ke aa
Yeh aastan-e-yaar hai, sehn-e-haram nahi.

Jab tak bike na tha to koi poochhta na tha
Tum ne khareed ker hameñ anmol ker diya.

Banayi Mujh Benawa Ki Bigdi Naseeb Mera Jaga Diya
Banayi Mujh Benawa Ki Bigri, Naseeb Mera Jaga Diya
Tere Karam Ke Nisaar Tu Ne Mujhe Bhi Jeena Sikha Diya.

 

Badal Gayi Mere Dil Ki Duniya, Aata Ne Wo Martaba Diya
Karam Ki Aisi Nigaah Dali, Gadaa Ko Sultaañ Bana Diya.

 

Karam Ke Saaye Meiñ Hum Ko Rakha, Kabhi Hirasañ Na Hum Hue
Hamare Sir Pe Jo Dhoop Aayi To Apna Daaman Badha Diya

 

Yeh Inki Banda-nawaziyañ Hain, Jo Mujh Pe Aisa Karam Keya
Bana Ke Apna Faqeer Mujh Ko, Gham E Jahaan Se Chura Liya

 

Ghareeb Dar Dar Bhatak Rahe The, Kaheeñ Na Dil Ko Sukooñ Mila
Karam Kiya Tu Ne Apne Dar Ko, Hamaara Kaaba Bana Diya

 

Wuzoo kiya mein ne aasuoñ se, namaaz meri adaa howi
Mila jo naqsh e qadam tumhara, to mein ne sir ko jhuka diya

 

Kisi Ko Dar Se Na Khaali Taala, Her Ik Sawali Ko Bheek Di
Ghareeb Aaye Jo Aastañ Per, Karam Ka Darya Bahaa Diya.

Banayi Mujh Benawah Ki Bigri Naseeb Mera Jaga Diya.

 

Leave a Reply