Hazrat Riyazuddin Nayyar sahab ka likha hua aur dunya bhar mein nihayat hi maqbool o pasandida kalam pesh-e-khidmat hai.
Is haseen naat-e-pak mein Huzoor ﷺ ki bargah se umeed-e-karam, Madina jaane ki tadap aur hashr mein shafa’at ki aas ko nihayat hi pyaare andaz mein bayan kiya gaya hai.
Aaiye is roohani aur aqeedat se bhare mubarrak kalam ko dil se padhein aur apne dilon mein ishq-e-mustafa ki shama roshan karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Bari Umeed Hai Sarkar Qadmon Mein Bulayenge |
| Poet / Writer | Riyazuddin Nayyar |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Alhaaj Owais Raza Qadri / Milad Raza Qadri / Fasihuddin Soharwardi |
Naat Lyrics in Roman
Bari umeed hai Sarkar qadmon mein bulayenge
Karam ki jab nazar ho gi Madine hum bhi jayenge
Agar jaana Madine mein huwa hum gham ke maaron ka
makeene Gumbad-e-Khazra ko haal-e-dil sunayenge
Kasam Allah ki ho ga woh manzar deed ke qabil
Qayamat mein Rasulallah jab tashreef layenge
Qayamat tak jagayenge na phir Munkar Nakeer usko
Lahad mein wo jisse apna Rukh-e-Zaiba dikhayenge
Gunahgaron mein khud aa aa kar shamil parsaa honge
Shafi-e-Hashr jab Daaman-e-Rehmat mein chupayenge
Gham-e-Ishq-e-Nabi se hoga jab maamoor dil nayyar
Tere zulmat kade mein bhi sitare jagmagayenge
Naat Lyrics in Hindi
बड़ी उम्मीद है सरकार क़दमों में बुलाएंगे
करम की जब नज़र होगी मदीने हम भी जाएंगे
अगर जाना मदीने में हुआ हम ग़म के मारों का
मकीने गुम्बद-ए-ख़ज़रा को हाल-ए-दिल सुनाएंगे
क़सम अल्लाह की होगा वो मंज़र दीद के क़ाबिल
क़यामत में रसूलाल्लाह जब तशरीफ़ लाएंगे
क़यामत तक जगाएंगे न फिर मुनकर नकीर उसको
लहद में वो जिसे अपना रुख़-ए-ज़ैबा दिखाएंगे
गुनहगारों में ख़ुद आ आ कर शामिल पारसा होंगे
शफ़ी-ए-हश्र जब दामन-ए-रहमत में छुपाएंगे
ग़म-ए-इश्क़-ए-नबी से होगा जब मामूर दिल नैय्यर
तेरे ज़ुल्मत कदे में भी सितारे जगमगाएंगे
Naat Lyrics in Urdu
بڑی امید ہے سرکار قدموں میں بلائیں گے
کرم کی جب نظر ہو گی مدینے ہم بھی جائیں گے
اگر جانا مدینے میں ہوا ہم غم کے ماروں کا
مکينِ گنبدِ خضریٰ کو حالِ دل سنائیں گے
قسم اللہ کی ہو گا وہ منظر دید کے قابل
قیامت میں رسول اللہ جب تشریف لائیں گے
قیامت تک جگائیں گے نہ پھر منکر نکیر اس کو
لحد میں وہ جسے اپنا رخِ زیبا دکھائیں گے
گنہگاروں میں خود آ آ کر شامل پارسا ہوں گے
شفیعِ حشر جب دامنِ رحمت میں چھپائیں گے
غمِ عشقِ نبی سے ہو گا جب معمور دل نیر
ترے ظلمت کدے میں بھی ستارے جگمگائیں گے