Bul Hawas sun Simo zar ki bandagi acchhi nahin Naat Lyrics
Bul Hawas sun Simo zar ki bandagi acchhi nahin
Unke Dar ki bhik acchhi Sarwari acchhi nahin
Sarwari kya chiz hai Unki Gadai ke Huzur
Unke Dar ki bhik acchhi Sarwari acchhi nahin
Unki Chokhat chum kar khud keh rahi hai Sarwari
Unke Dar ki bhik acchhi Sarwari acchhi nahin
Sarwari Khud hai bhikaran Bandagane Shah ki
Unke Dar ki bhik acchhi Sarwari acchhi nahin
Taaj khud rakkha sakar da Go yadi ja Tajwar
Unke Dar ki bhik acchhi Sarwari acchhi nahin
Taaj ko kasa bana kar Taajwar kehte hein yun
Unke Dar ki bhik acchhi Sarwari acchhi nahin
Mufti-e-Azam yake az mardo mane Mustafa
Us Raza-e-Mustafa se Dushmani acchhi nahin
Hujjatul Islam Aye Hamid Raza Baba-e-Man
Tumko bin dekhe Hamari Zindagi acchhi nahin
Khake Tayba ki Talab mein Khak ho ye Zindagi
Khake Tayba acchhi Apni Zindagi acchhi nahin
Aarzu man dane gul kanton se bachte hein kahin
Khare Tayba se Teri pehlu tahi acchhi nahin
Dashte Tayba ke fidaii se Jina ka tazkira
Jo rula de khun aesi dillagi acchhi nahin
Dashte Tayba chhod kar mein Sehre Jannat ko chalun
Rehne dijiye Shekh ji Diwanagi acchhi nahin
Jo junune Khuld mein kawwon ko de bethen dharam
Aese andhe Shekh ji ki perwi acchhi nahin
Aqal Chopayon ko de bethe Hakime Tanwi
Mein na kehta tha ke Sohbat Dew ki acchhi nahin
Yaade Jana mein Ma’zallah hasti thi khabar
Yaade Jana mein kisi se aagahi acchhi nahin
Shame Hijra mein Hamein hai justaju Us maher ki
Chodwi ke Chand Teri Chandani acchhi nahin
Toke Tehzibe Firangi Tod dali Mominon
Teergi Anjam hai ye Roshni acchhi nahin
Shake Gul par hi banayeinge ana dil Aashiyan
Bark se keh do ke Hamse zidd Teri acchhi nahin
Jo Piya ko bhaye Akhtar Wo Suhana Raag hai
Jis se nakhush hon Piya Wo Ragni acchhi nahin