Huzur Tajush Shariah Allama Mufti Akhtar Raza Khan Qadri Azhari ki bargah me aqeedat-o-mohabbat se bhara ye pyara manqabat pesh-e-khizmat hai. Is kalam me Huzur Tajush Shariah ke haseen chahre, unke taqwa aur unki azeem deeni khidmaat ka zikr nihayat khubsurati se kiya gaya hai. Aaiye is muqaddas manqabat ke zariye unki bargah me apni aqeedat pesh karein aur dilon ko munawwar karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Chaudhvin Ke Chand Sa Chehra Mere Akhtar Ka Hai |
| Poet / Writer | Naeem |
| Category | Manqabat (Tajush Shariah) |
| Naatkhawan / Reciter | Various Reciters |
Naat Lyrics in Roman
Chaudhvin ke chand sa chehra mere Akhtar ka hai
Jalwa-e-Ahmed Raza jalwa mere Akhtar ka hai
Zaat-e-Akhtar ki mukhalif kisse dega tu missal
Ek bhi chehra dikha jaise mere Akhtar ka hai
Aala Hazrat se mila hai ilm aur Haamid se jamaal
Aur Nana ki tarah taqwa mere Akhtar ka hai
Unke shaan-o-martaba ka isse andaaza karo
Har kisi ke bazm mein charcha mere Akhtar ka hai
Darul Ifta Hameedi Masjid Idara dekh yeh
Ahle Sunnat ke liye tohfa mere Akhtar ka hai
Aala Hazrat se mohabbat aur Akhtar se jalan
Sun Raza ka woh hai jo shaida mere Akhtar ka hai
Jis tarah se sher ka baccha bhi hota sher hai
Aise hi Asjad Raza beta mere Akhtar ka hai
Itni raunaq itna majma soch mein hoon main Naeem
Urs hai Ahmed Raza ka ya mere Akhtar ka hai
Naat Lyrics in Hindi
चौदहवीं के चाँद सा चेहरा मेरे अख़्तर का है
जलवा-ए-अहमद रज़ा जलवा मेरे अख़्तर का है
ज़ात-ए-अख़्तर की मुख़ालिफ़ किस्से देगा तू मिसाल
एक भी चेहरा दिखा जैसे मेरे अख़्तर का है
आला हज़रत से मिला है इल्म और हामिद से जमाल
और नाना की तरह तक़्वा मेरे अख़्तर का है
उनके शान-ओ-मर्तबा का इस्से अंदाज़ा करो
हर किसी के बज़्म में चर्चा मेरे अख़्तर का है
दारुल-इफ़्ता हमीदी मस्जिद इदारा देख ये
अहले सुन्नत के लिए तोहफ़ा मेरे अख़्तर का है
आला हज़रत से मोहब्बत और अख़्तर से जलन
सुन रज़ा का वो है जो शैदा मेरे अख़्तर का है
जिस तरह से शेर का बच्चा भी होता शेर है
ऐसे ही असजद रज़ा बेटा मेरे अख़्तर का है
इतनी रौनक़ इतना मजमा सोच में हूँ मैं नईम
उर्स है अहमद रज़ा का या मेरे अख़्तर का है
Naat Lyrics in Urdu
چودھویں کے چاند سا چہرہ میرے اختر کا ہے
جلوہ احمد رضا جلوہ میرے اختر کا ہے
ذات اختر کی مخالف کس سے دیں گا تو مثال
ایک بھی چہرہ دکھا جیسے میرے اختر کا ہے
اعلیٰ حضرت سے ملا ہے علم اور حامد سے جمال
اور نانا کی طرح تقویٰ میرے اختر کا ہے
ان کے شان و مرتبہ کا اس سے اندازہ کرو
ہر کسی کے بزم میں چرچا میرے اختر کا ہے
دارالافتاء حمیدی مسجد ادارہ دیکھ یہ
اہل سنت کے لیے تحفہ میرے اختر کا ہے
اعلیٰ حضرت سے محبت اور اختر سے جلاں
سن رضا کا وہ ہے جو شیدا میرے اختر کا ہے
جس طرح سے شیر کا بچہ بھی ہوتا شیر ہے
ایسے ہی اسجد رضا بیٹا میرے اختر کا ہے
اتنی رونق اتنا مجمع سوچ میں ہوں میں نعیم
عرس ہے احمد رضا کا یا میرے اختر کا ہے