Ghulam Hashar Mein Jab Syed Ul Wara Ke Chalay Lyrics || गुलाम हश्र में जब सैयद-उल-वरा के चले

Ghulam Hashar mein Jab Syed Ul Wara ke chalay ek nihayat hi maqbool, rooh-parvar aur buland paya naat e pak hai jo dilon me ishq-e-mustafa ki shama roshan karti hai.
Tajdar-e-Golra Hazrat Peer Syed Naseeruddin Naseer Gilani sahab ke is bemisal kalam me shaf’at-e-rasool, waqia-e-meraj aur qayamat ke din momeenon ke azeem muqaddar ka nihayat haseen zikr kiya gaya hai.
Aashiqan-e-rasool aur sana-khawan-e-mustafa ke darmiyan ye kalam apne lafzi husn aur roohani taseer ki wajah se ek mumtaz muqam rakhta hai.

Naat Information Details
Naat Title Ghulam Hashar Mein Jab Syed-ul-Wara Ke Chalay
Poet / Writer Hazrat Peer Syed Naseeruddin Naseer Gilani (Golra Sharif)
Category Naat Sharif / Shafa’at Kalam
Naatkhawan / Reciter Multiple Naatkhawans

Naat Lyrics in Roman

Ghulam Hashar mein Jab Syed Ul Wara ke chalay
Liwaie Hamd ke Saye mein sir utha ke chalay

Ye Kis ka shahar Qareeb a raha daikho to
Drood perta hua Qafila Hawa ke chalay

Wahi pe Tham gayi ik waar gerdisch Doran
Jhan bhi tazkira Sultan e Anbiya Ke Chalay

Talab hue Sir e Kosain jab Shab e Asra
Huzoor Waqif e Manzil pe Muskura Ke chalay

Nasha kay Ilat o Hurmat pay tha yeh pehlu bhi
Ke Pul Sirat pe Momin Naa larkhara key chalay

Nazar Ba alaam pakizgi paray un per
Musafiran e Lehad is liya Naha ke chalay

Janab e Aamina Uthin Balain Lena ko
Wo Taj sir pe Shifaet ka Jab saja ke chalay

Naseer Un ke siwa koun hai Rasool Aisa
Jo bakhshwanay ko aye tu bkahshwa kay chalay

Ghulam Hashar mein Jab Syed Ul Wara ke chalay
Liwaie Hamd ke Saye mein sir utha ke chalay

Naat Lyrics in Hindi

गुलाम हश्र में जब सैयद-उल-वरा के चले
लिव़ा-ए-हम्द के साए में सर उठा के चले

यह किस का शहर क़रीब आ रहा है देखो तो
दुरूद पढ़ते हुए क़ाफ़िले हवा के चले

वहीं पे थम गई इक बार गर्दिश-ए-दौराँ
जहाँ भी तज़किरे सुल्तान-ए-अम्बिया के चले

तलब हुई सर-ए-क़ौसैन जब शब-ए-असरा
हुज़ूर वाक़िफ़-ए-मंज़िल थे, मुस्कुरा के चले

नशे की इल्लत-ए-हुर्मत में था यह पहलू भी
कि पुल सिरात पे मोमिन न लड़खड़ा के चले

नज़र ब-आलम-ए-पाकीज़गी पड़े उन पर
मुसाफ़िरान-ए-लहद इस लिए नहा के चले

जनाब-ए-आमिना उठीं बलाएँ लेने को
वह ताज सर पे शफ़ाअत का जब सजा के चले

नसीर उनके सिवा कौन है रसूल ऐसा
जो बख़्शवाने पे आए तो बख़्शवा के चले

गुलाम हश्र में जब सैयद-उल-वरा के चले
लिव़ा-ए-हम्द के साए में सर उठा के चले

Naat Lyrics in Urdu

غلام حشر میں جب سید الوریٰ کے چلے
لِوائے حمد کے سائے میں سر اُٹھا کے چلے

یہ کس کا شہر قریب آ رہا ہے دیکھو تو
دُرود پڑھتے ہوئے قافلے ہوا کے چلے

وہیں پہ تھم گئی اک بار گردشِ دوراں
جہاں بھی تذکرے سلطانِ انبیاء کے چلے

طلب ہوئی سرِ قوسین جب شبِ اسریٰ
حضور واقفِ منزل تھے، مسکرا کے چلے

نشے کی علتِ حرمت میں تھا یہ پہلو بھی
کہ پل صراط پہ مومن نہ لڑکھڑا کے چلے

نظر بہ عالمِ پاکیزگی پڑے ان پر
مسافرانِ لحد اس لئے نہا کے چلے

جنابِ آمنہ اٹھیں بلائیں لینے کو
وہ تاج سر پہ شفاعت کا جب سجا کے چلے

نصیر ان کے سوا کون ہے رسول ایسا
جو بخشوانے پہ آئے تو بخشوا کے چلے

غلام حشر میں جب سید الوریٰ کے چلے
لِوائے حمد کے سائے میں سر اُٹھا کے چلے

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top