Huzoor Tajdar-e-Madinah ﷺ ki shaan-e-aqdas mein pesh kiya gaya yeh nihayat hi haseen aur noorani kalam “Guzre Jis Raah Sey Wo Sayyid-e-Waala Ho Kar” aashiqan-e-rasool ke dilon ko garma deta hai. Is mubaarak kalam mein Sarkar-e-Do-Aalam ﷺ ki raah-guzar ki khushboo aur unke rukh-e-anwar ki tajjaliat ka nihayat hi la-jawab zikr kiya gaya hai. Aaiye is pyari Naat-e-Paak ke mukammal aur pakiza alfaaz ko Roman, Hindi aur Urdu zabaan mein padhein aur apne qalb ko munawwar karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Guzre Jis Raah Sey Wo Sayyid-e-Waala Ho Kar |
| Poet / Writer | Ala Hazrat Khan Barelvi |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Various |
Naat Lyrics in Roman
Guzre Jis Raah Sey Wo Sayyid-e-Waala Ho Kar
Reh Gayi Saari Zameen Anbar-e-Saara Ho Kar
Rukh-e-Anwar Ki Tajjali Jo Qamar Ne Dekhi
Reh Gaya Bosah Dah-e-Naqsh-e-Kaf-e-Paa Ho Kar
Waaye Mehroomi-e-Qismat Key Main Phir Ab Ki Baras
Reh Gaya Hamrah-e-Zawwaar-e-Madinah Ho Kar
Chaman-e-Taiba Hay Wo Baagh Key Murgh-e-Sidrah
Barson Chehke Hain Jahan Bulbul-e-Shaida Ho Kar
Sar-Sar-e-Dasht-e-Madinah Ka Magar Aaya Khyaal
Rashk-e-Gulshan Jo Bana Ghuncha-e-Dil Waa Ho Kar
Gosh-e-Sheh Kehte Hain Faryaad Rasi Ko Ham Mein
Wada-e-Chashm Hay Bakhshaain Ge Goyaa Ho Kar
Paaye Sheh Par Gire Yaa Rab Tapish-e-Meher Sey Jab
Dil-e-Betaab Ure Hashr Mein Paara Ho Kar
Hay Yeh Ummeed ‘Raza’ Ko Teri Rahmat Sey Shahaa
Na Ho Zandaani-e-Dozakh Tera Bandah Ho Kar
Naat Lyrics in Hindi
गुज़रे जिस राह से वो सय्यिद-ए-वाला हो कर
रह गयी सारी ज़मीं अम्बर-ए-सारा हो कर
रुख़-ए-अनवर की तजल्ली जो क़मर ने देखी
रह गया बोसः दह-ए-नक़्श-ए-कफ़-ए-पा हो कर
वाए महरूमी-ए-क़िस्मत के मैं फिर अब की बरस
रह गया हमराह-ए-ज़व्वार-ए-मदीना हो कर
चमन-ए-तैबा है वो बाग़ के मुर्ग़-ए-सिदरा
बरसों चहके हैं जहाँ बुलबुल-ए-शैदा हो कर
सर-सर-ए-दश्त-ए-मदीना का मगर आया ख़्याल
रश्क-ए-गुलशन जो बना ग़ुंचा-ए-दिल वा हो कर
गोश-ए-शह कहते हैं फ़र्याद रसी को हम में
वादा-ए-चश्म है बख़्शाएँगे गोया हो कर
पाए शह पर गिरे या रब तपिश-ए-मेहर से जब
दिल-ए-बेताब उड़े हश्र में पारा हो कर
है ये उम्मीद ‘रज़ा’ को तेरी रहमत से शहा
न हो ज़िन्दानी-ए-दोज़ख़ तेरा बन्दा हो कर
Naat Lyrics in Urdu
گزرے جس راہ سے وہ سیدِ والا ہو کر
رہ گئی ساری زمیں عنبرِ سارا ہو کر
رخِ انور کی تجلی جو قمر نے دیکھی
رہ گیا بوسہ دہِ نقشِ کفِ پا ہو کر
وائے محرومیِ قسمت کہ میں پھر اب کی برس
رہ گیا ہمراہِ زوارِ مدینہ ہو کر
چمنِ طیبہ ہے وہ باغ کہ مرغِ سدرہ
برسوں چہکے ہیں جہاں بلبلِ شیدا ہو کر
صرصرِ دشتِ مدینہ کا مگر آیا خیال
رشکِ گلشن جو بنا غنچۂ دل وا ہو کر
گوشِ شہ کہتے ہیں فریاد رسی کو ہم میں
وعدۂ چشم ہے بخشائیں گے گویا ہو کر
پائے شہ پر گرے یا رب تپیِشِ مہر سے جب
دلِ بیتاب اڑے حشر میں پارہ ہو کر
ہے یہ امید رضاؔ کو تری رحمت سے شہا
نہ ہو زندانیِ دوزخ ترا بندہ ہو کر