Habeeb-e-Khuda Arsh Par Jaane Waale Lyrics || हबीब-ए-ख़ुदा, ‘अर्श पर जाने वाले

Habeeb-e-Kibriya, Huzoor Tajdar-e-Haram ﷺ ki bargha-e-aqdas me pesh kiya gaya ye nihayat hi haseen kalam Me’raj-un-Nabi ﷺ ki azmat ko bayan karta hai. Is kalam me nabi-e-paak ke ‘Arsh-e-Mu’alla par tashreef le jaane aur ba-asani wapas loutne ki mizaaj-e-mo’jiza ko khubsoorati se poya gaya hai. Aaiye is ruhan-parwar aur ishq-e-Rasool se labrez kalam-e-Jameel ko dilon ki thandak banayein.

Naat Information Details
Naat Title Habeeb-e-Khuda, ‘Arsh Par Jaane Wale
Poet / Writer Jamil
Category Naat-e-Paak / Me’raj-un-Nabi
Naatkhawan / Reciter

Naat Lyrics in Roman

Habeeb-e-Khuda, ‘Arsh Par Jaane Wale
Wo Ik Aan Mein Ja Ke Phir Aane Wale

Khuda Ko In Aankhon Se Dekh Aane Wale
Wo Tafseel Se Sair Farmane Wale
Wo Ik Aan Mein Ja Ke Phir Aane Wale

Wo Aqsa Mein Me’raj Ki Shab Pahunch Kar
Imamat Nabiyon Ki Farmane Wale
Wo Ik Aan Mein Ja Ke Phir Aane Wale

Ishaare Se Un Ke Qamar Ke Hue Do
Ye Hain Dam Mein Sooraj Ko Lautane Wale
Wo Ik Aan Mein Ja Ke Phir Aane Wale

Raha Un Ke Maathe Shafa’at Ka Sehra
Yahi Hain Gunahon Ke Bakhshane Wale
Wo Ik Aan Mein Ja Ke Phir Aane Wale

Dua Hai Ke Ahbaab Mein Ho Ye Charcha
‘Jameel’ Ab Madine Ko Hain Aane Wale
Wo Ik Aan Mein Ja Ke Phir Aane Wale

Naat Lyrics in Hindi

हबीब-ए-ख़ुदा, ‘अर्श पर जाने वाले
वो इक आन में जा के फिर आने वाले

ख़ुदा को इन आँखों से देख आने वाले
वो तफ़्सील से सैर फ़रमाने वाले
वो इक आन में जा के फिर आने वाले

वो अक़्सा में मे’राज की शब पहुँच कर
इमामत नबियों की फ़रमाने वाले
वो इक आन में जा के फिर आने वाले

इशारे से उन के क़मर के हुए दो
ये हैं दम में सूरज को लौटाने वाले
वो इक आन में जा के फिर आने वाले

रहा उन के माथे शफ़ा’अत का सेहरा
यही हैं गुनाहों के बख़्शाने वाले
वो इक आन में जा के फिर आने वाले

दुआ है कि अहबाब में हो ये चर्चा
‘जमील’ अब मदीने को हैं आने वाले
वो इक आन में जा के फिर आने वाले

Naat Lyrics in Urdu

حبیبِ خدا، عرش پر جانے والے
وہ اک آن میں جا کے پھر آنے والے

خدا کو ان آنکھوں سے دیکھ آنے والے
وہ تفصیل سے سیر فرمانے والے
وہ اک آن میں جا کے پھر آنے والے

وہ اقصیٰ میں معراج کی شب پہنچ کر
امامت نبیوں کی فرمانے والے
وہ اک آن میں جا کے پھر آنے والے

اشارے سے ان کے قمر کے ہوئے دو
یہ ہیں دم میں سورج کو لوٹانے والے
وہ اک آن میں جا کے پھر آنے والے

رہا ان کے ماتھے شفاعت کا سہرا
یہی ہیں گناہوں کے بخشانے والے
وہ اک آن میں جا کے پھر آنے والے

دعا ہے کہ احباب میں ہو یہ چرچا
’جمیل‘ اب مدینے کو ہیں آنے والے
وہ اک آن میں جا کے پھر آنے والے

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top