Hai Ibaadat Meri Naat E Khairul Wara Lyrics
Banne Hain Dono Jahaan Mizhat E Nabi Ke Liye
Nabi Ki Naat Sahaara Hai Zindagi Ke Liye
Hai Ibaadat Meri Naat E Khairul Wara
Mujhko Duniya Ki Parwah Nahi Hai
Naat E Mehboob Daawar Sadad Ho Gayi
Meri Bakhshish Wahin Mustadad Ho Gayi
Naam E Muhammad Itna Meetha Meetha Lagta Hai
Manwa Nabi Nabi Nit Bol
Issi Naam Ki Barkat Ne
Diye Raaz E Haqeeqat Khol
Lab Pe Jab Unka Naam Aata Hai
Lamakan Se Salaam Aata Hai
Mera Muh Liya Kyun Noor Hul Ameen Ne
Liya Jis Waqt Maine Naam E Muhammad
Naam E Muhammad Itna Meetha Meetha Lagta Hai
Pyare Nabi Ka Hamko Zikr Bhi Pyara Lagta Hai
Naat Kehna Ke Kareena Aa Gaya
Ab Rehmat Ka Khazeena Aa Gaya
Naat Jab Maine Padi Sarkaar Ki
Saamne Memre Madina Aa Gaya
Meri Pehchaan Hai Nisbat E Mustafa
Mujhko Do Zakh Ka Khatka Nahi Hai
Naaz Jis Baat Pe Hai Wo Baat Yahi Hai
Meri Pehchaan Hai Nisbat E Mustafa
Unse Nisbat Nahi To Kuch Bhi Nahi
Gar Yeh Daulat Nahi To Kuch Bhi Nahi
Tinka Hoon Magar Khauf E Hawa Ras Nahi Rakhta
Lo Dekh Lo Toofan Ke Main Sir Pe Chada Hoon
Main Kuch Bhi Nahi Hoon Yeh Mujhe Naaz Hai Aaka
Nisbat Hai Meri Aapse Main Sabse Bada Hoon
Na Yeh Daulat Na Shohrat Badi Cheez Hai
Na Yeh Takht O Hakoomat Badi Cheez Hai
Gar Koi Cheez Duniya Mein Hai Jo Badi
Kamli Wale Se Nisbat Badi Cheez Hai
Shah E Batha Se Jo Nisbat Ho Gayi Hai
Mujhe Har Gham Se Fursat Ho Gayi Hai
Jabeen Wakf E Ibaadat Ho Gayi Hai
Mujhe Unse Muhabbat Ho Gayi Hai
Mujhe Kehte Hain Sab Deewana Unka
Yeh Soorat Kaisi Soorat Ho Gayi Hai
Mila Hai Daaman E Sarkaar Mujhko
Meri Poori Zaroorat Ho Gayi Hai
Mili Jab Si Muhammad Ki Ghulami
Meri Duniya Mein Izzat Ho Gayi Hai
Koi Baitha Rahe Andesha E Farda Lekar
Mutmayin Hun Issi Nisbat Ka Sahaara Lekar
Jaake Ghar Ghar Sajaata Hoon Main Mehfilein
Apne Mehbood Ki Rabb Ke Makhlood Ki
Sadka Sarkaar Ka Hai Mila Martaba
Kaise Keh Dun Ki Milta Nahi Hai
Kitna Hai Yeh Karam Rakhte Hain Wo Bharam
Main Toh Nadaan Wabista Ky Aky Ana Kiya
Laaj Rakh Li Meri Sarkaar Ne Ruswa Na Kiya
Kitna Hai Yeh Karam Rakhte Hain Wo Bharam
Sayyid E Mohtaram Shah E Waala Hasham
Yaad E Sarkaar Se Shaad Hai Dil Mera
Aur Kuch Dil Ko Bhaata Nahi Hai
Kun Khuda Ne Kaha Khalq Sab Ko Kiya
Jiski Khaatir Kaha Wo Toh Pehle Se Tha
Aap Ke Noor Se Noor Sabko Mila
Aapsa Koi Dekha Nahi Hai
Hai Yeh Hardam Dua Jab Ho Waqt E Niza
Muhammad Saamne Ho Aur Mera Dam Nikalta Ho
Bilahi Se Badhkar Aarzu E Dil Nahi Koi
Muhammad Ya Muhammad Kehte Kehte Dam Nikal Jaaye
Hai Yeh Hardam Dua Jab Ho Waqt E Niza
Aap Hon Us Ghaddi Saamne Mustafa
Hai Tamanna Yahi Aakhiri Bakhuda
Aur Koi Tamanna Nahi Hai
Azmat E Zindagi Nisbat E Mustafa
Maksad E Bandagi Mizhat E Mustafa
Padh Tu ‘Safri’ Sada Naat E Khair Ul Wara
Jism Ka Jin Pe Saaya Nahi Hai