Nawaasa E Rasool Imam E Aali Maqam Hazrat Imam Hussain Ki Shaan E Mubarak Mein Likhi Gayi Ye Pyaari Manqabat Dil Ko Imaan Ki Roshni Se Bhar Deti Hai. Is Kalam Mein Shahaadat O Eesaar Aur Mohabbat E Ahle Bait Ke Khoobsurat Pehluon Ko Bayaan Kiya Gaya Hai. Padhne Aur Sunne Walon Ke Dil Mein Ishq E Ahl E Bait Ka Jazba Bedar Hota Hai.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Khanda Peshani Se Har Sadma Uthate Hain Hussain |
| Poet / Writer | Mufti Muhammad Tehseen Raza Khan |
| Category | Manqabat |
| Naatkhawan / Reciter | Owais Raza Qadri |
| Book Name | Gulhaaye Bakhshish |
Khanda Peshani Se Har Sadma Uthate Hain Hussain Lyrics In Roman
Khanda Peshaani Se Har Sadma Uthaate Hain Hussain
‘Ishq Ke Adaab Dunya Ko Sikhaate Hain Hussain
Jab Guzarti Hay Kissi Dushwaar Manzil Se Hayaat
Dafatan Har Mubtilaa Ko Yaad Aate Hain Hussain
Muhsin E Insaaniyat Hain No Nahaal E Mustafa
Zulm Ki Zulmat Ko Dunya Se Mitaate Hain Hussain
Khaak Main Mil Jaaye Ga Ik Aan Main Tera Ghuroor
Aay Garoh E Ashqiyaa Tashreef Laate Hain Hussain
Kyoon Na Hogi Hum Gunehgaaron Ki Bakshish Hashr Main
Sar Hatheli Par Liye Tashreef Laate Hain Hussain
Mowj E Kausar Jis Pe Qurbaan Uss Muqaddas Khoon Se
Dastaan E ‘Ishq Ko Rangeen Banaate Hain Hussain
Khanda Peshani Se Har Sadma Uthate Hain Hussain Lyrics In Hindi
खंदा पेशानी से हर सदमा उठाते हैं हुसैन
इश्क़ के आदाब दुनिया को सिखाते हैं हुसैन
जब गुजरती है किसी दुश्वार मंज़िल से हयात
दफ़अतन हर मुब्तिला को याद आते हैं हुसैन
मुहसिन ए इंसानियत हैं नौ निहाल ए मुस्तफ़ा
ज़ुल्म की ज़ुलमत को दुनिया से मिटाते हैं हुसैन
ख़ाक में मिल जाएगा इक आन में तेरा ग़ुरूर
ऐ गिरोह ए अश्क़िया तशरीफ़ लाते हैं हुसैन
क्यों न होगी हम गुनाहगारों की बख़्शिश हश्र में
सर हथेली पर लिए तशरीफ़ लाते हैं हुसैन
मौज ए कौसर जिस पे क़ुर्बान उस मुक़द्दस ख़ून से
दास्तान ए इश्क़ को रंगीन बनाते हैं हुसैन
Khanda Peshani Se Har Sadma Uthate Hain Hussain Lyrics In Urdu
خندہ پیشانی سے ہر صدمہ اٹھاتے ہیں حسین
عشق کے آداب دنیا کو سکھاتے ہیں حسین
جب گزرتی ہے کسی دشوار منزل سے حیات
دفعتہً ہر مبتلا کو یاد آتے ہیں حسین
محسنِ انسانیت ہیں نو نہالِ مصطفیٰ
ظلم کی ظلمت کو دنیا سے مٹاتے ہیں حسین
خاک میں مل جائے گا اک آن میں تیرا غرور
اے گروہِ اشقیا تشریف لاتے ہیں حسین
کیوں نہ ہوگی ہم گنہگاروں کی بخشش حشر میں
سر ہتھیلی پر لیے تشریف لاتے ہیں حسین
موجِ کوثر جس پہ قرباں اس مقدس خون سے
داستانِ عشق کو رنگین بناتے ہیں حسین