khanjar hain teri aankhein talwaar teri aankhein Lyrics

khanjar hain teri aankhein talwaar teri aankhein Lyrics

 

 

khanjar hain teri aankhein talwaar teri aankhein
zinda na rehne dengi aye yaar teri aankhein

chehre pe tu gussa hai ankhon mein muhabbat hai
karti hain mere dilbar iqraar teri aankhein

yeh bolti aankhein ankhein bhi afsaane sunaati hain
rakhti hai zubaan jaise aye yaar teri aankhein

aye nargis e mastaana allah tujhe rakhe
rehti hain tasawwur main har baar teri ankhein

Leave a Reply