Koi Duniya E Ata Me Nahi Hamta Tera Naat Lyrics
Koi Duniya E Ata Mein Nahin Hamta Tera
Ho Jo Haatim Ko Muyassar Ye Nazara Tera
Keh Uthe Dekh Ke Bakhshish Mein Ye Rutba Tera
‘Wah Kya Jood O Karam Hai Shah-E Bat’ha Tera
Nahi Sunta Hi Nahi Mangne Wala Tera’.
Ilm Aisa Bhi Na De Ke Khud Ko Kahun Un Jaisa
Is Se Behtar Mere Maula Mujhe Jaahil Kar De
Kuch Bashar Hone Ke Naate Tujhe Khud Sa Jaane
Aur Kuch Mahaz Payaami Hi Khuda Ka Jaane
Inki Auqaat Hi Kya Hai Ke Ye Itna Jaane
‘Farsh Wale Teri Shaukat Ka Uloo Kya Jaane
Kushrawa Arsh Pe Udta Hai Pharera Tera’.
Jo Tasawwur Mein Tera Paikar E Zaiba Dekhe
Ru-E Washshams Takei Matla-‘E Seema Dekhe
Kyu Bhala Ab Woh Kisi Aur Ka Chehra Dekhen
‘Tere Qadmo Mein Pale Ghair Ka Muh Kya Dekhe
Kaun Nazron Pe Chadhe Dekh Ke Talwa Tera’.
Muft Paala Tha Kabhi Kaam Ki Aadat Na Padi
Ab Amal Poochte Hain, Haaye Nikamma Tera
Teri Nisbat Se Hai Tauqeer Meri Logo Mei
Tu Alag Ho To Meri Zaat Me Kuchh Bhi Nahi
Mujh Se Na Cheez Pe Hai Teri Inayat Kitni
Tune Har Waqt Ki Meri Himaayat Kitni
Kya Batau Teri Rahmat Mei Hai Wusat Kitni
‘Ek Main Kya Mere Isiyaa Ki Haqeeqat Kitni
Mujhse Sau Lakho Ko Kafi Hai Ishara Tera’
Tumhara Naam Musibat Mein Jab Liya Hoga
Hamara Bigda Hua Kaam Ban Gaya Hoga
Kahenge Aur Nabi Iz Habu Ila Ghairi
Mere Huzur Ke Lab Par Ana Laha Hoga
‘Mujhse Sau Lakh Ko Kafi Hai Ishara Tera’
Mere Jad Bhi Unke Ghulaam The
Main Bhi Unke Dar Ka Ghulam Hoo
Kai Pushto Se Ghulami Ka Ye Rishta Hai Bahaal
Yahi Tifli O Jawaani Ke Guzaare Maho-Saal
Ab Budhape Mei Khudara Hame Yu Dar Se Na Taal
‘Tere Tukdo Pe Pale Ghair Ki Thokar Pe Na Daal
Khidkiya Khaaye Kaha Chod Ke Sadka Tera’
Gham-E Daura Se Jo Ghabraiye, Kisse Kahiye
Apni Uljhan Kise Batlaiye Kisse Kahiye
Cheer Kar Dil Kise Dikhlaiye Kisse Kahiye
Kiska Muh Takiye, Kaha Jaaiye, Kisse Kahiye
Tere Hi Qadmon Pe Mit Jaaye Ye Palla Tera
Nazr-E Ushshaq-E Nabi Hai Ye Mera Harf-E Ghareeb
Mimbar-E-Waaz Pe Ladte Rahe Aapas Mein Khateeb
Ye Aqeeda Rahe Allah Kare Mujh Ko Naseeb
‘Mai To Maalik Hi Kahunga Ke Wo Maalik Ke Habeeb
Yani Mehboob O Muhib Me Nahi Mera Tera’.
Tujh Se Har Chand Woh Hai Qadr O Fazail Me Rafee’
Kar “Naseer” Aaj Magar Fikre Raza Ki Tausee’
Paas Hai Uske Shafa’at Ka Waseela Bhi Waqee’
‘Teri Sarkar Mei Laata Hai Raza Usko Shafee’
Wo Mera Gaus Hai Aur Ladla Beta Tera’.
- Aaye Nabiyon Ke Sardar Lyrics
- Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi Lyrics In Hindi
- Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi Lyrics In Urdu