Main khatayen gin ke bataun kya Lyrics

Main khatayen gin ke bataun kya Lyrics

 

Main khatayen gin ke bataun kya
Raah mein jab koi dushwar makaam aata hai
Jaane kyun lab pe mere aap ka naam aata hai

Ye tasarruf faqat ek baat par nahi maukuf
Jisse nisbat ho wo har haal mein kaam aata hai

Na haram ki justju hai na khayal e butkada hai
Teri Banda parwari ne mujhe kya bana diya hai

Main yahin karunga sajde yahi mera mudda hai
Jo mila nahi haram se tere dar se wo mila hai

Achcha nahi khota hoon khote ko nibhale
Gar tum na sambhalo to Phir kaun sambhale

Main khatayen gin ke bataun kya
Ye kahin shumaar ki baat hai

Main hoon sharmsaar tu baksh de
Tere ikhteyar ki baat hai

Mere gunah Zyaada hain ya teri rehmat
Kareem tu hi bata de hisab karke mujhe

Tu nawazne pe aaye to nawaz de zamana
Tu kareem hi Jo thehra to karam ka kya thikana

Main zuban se kaise bayan karoon
Dil e saugwar ki baat hai

Meri chashme tar se sune koi
Gham e hijr yaar ki baat hai

Kabhi maine tujhse nahin kaha
Teri zaat hai mera mudda

Mujhe tune apna Samajh liya
Tere aitbar ki baat hai

Teri yaad mera darman Tera zikr bandagi hai
Tu mila hai jabse mujhko meri baat ban gayi hai

Mere data mian tune apna Samajh liya
Main kyun na khoobiye kismat pe naaz karoon

Tumhara naam lene se mujhe sab jaan jaate hain
Main wo khoyi hui cheez hoon jiska pata tum ho

Meri baada noshi ke waaste
Koi qaid e jaam o subu nahi

Mujhe kaif rehta hai har ghari
Ye nigah e yaar ki baat hai

Sage dar hai saadik e benawa
Ise hai to ik tera aasra

Kisi benawa ko nawazna
Tere ikhteyar ki baat hai

 

Leave a Reply