MARZ E ISHQ KA BIMAAR BHI KYA HOTA HE LYRICS

MARZ E ISHQ KA BIMAAR BHI KYA HOTA HE LYRICS

 

Marz e Ishq Ka Bimaar Bhi Kya Hota He
Jitni Karta He Dawa Dard Siwa Hota HeKyuñ Abas Khauf Se Dil Apna Hawa Hota He
Jub Karam Aap Ka Aasi Pe Shaha Hota He

Jis Ka Haami Wo Shah e Har Dosaraa Hota He
Qaid o Band e Do Jahaañ Se Wo Riha Hota He

Un Ka Irshaad He Irshaad e Khudawand e Jahaañ
Ye Wahi Kehte Haiñ Jo Rab’b Ka Kaha Hota He

Baadshahaan e Jahaañ Hote Haiñ Mangta Us Ke
Aap Ke Kooche Ka Shahaa Jo Gada Hota He

Pal’la Neyki Ka Ishaare Se Bar’haa Dete Haiñ
Jub Karam Banda Nawaazi Pe Tulaa Hota He

Saara Aalam He Raza Joo e Khudawand e Jahaañ
Awr Khuda Aap Ka Jooya e Raza Hota He

Hum Ne Yuñ Shama’e Risaalat Se Laga-ee He Lau
Sub Ki Jholi Me Unheeñ Ka To Diya Hota He

Az Shahaa Ta Ba-Gadaayaan e Jahaañ Ik Aalam
Aap Ke Dar Pe Shaha Arz Rasa Hota He

Aisi Sarkaar He, Bhar-Pur Jahaañ Se Lene,
Roz Ek Meyla Naya Dar Pe Laga Hota He

Donoñ Haathoñ Se Lut’a Karte Haiñ Khazaana Lekin
Jitna Khaali Kareñ Ut-Na Hee Bhara Hota He

Kardah Na Kardah Ishaare Me Tumhare Ho Jaa-e
Be Kiya, Aap Ke Sadqe Me Kiya Hota He

Be-Kas o Be-Bas o Be Yaar o Madadgaar Jo Ho
Aap Ke Dar Se Shahaa Sub Ka Bhala Hota He

Un Se Dushman Ki Musibat Nahiñ Dekhi Jaati
Dushmanoñ Ke Liye Jee Un Ka Bara Hota He

Jagmagaa Uth’tha He Dil Ka Mere Zar’rah, Zar’rah
Jub Mera Jaan e Qamar Jalwa Numa Hota He

Aap Mahboob Haiñ, Allah Ke Aise Mahboob
Har Muhib Aap Ka, Mahboob e Khuda Hota He

Jis Gali Se Tu Guzarta He Mere Jaan e Jinaañ
Zar’rah, Zar’rah Teri Khushboo Se Basa Hota He

Arsh e ‘Aala Se Kaheeñ Baala He Rutba Us Ka
Aap Ke Qadmoñ Se Sar Jis Ka Laga Hota He

Pyaaso Muzhdah Ho! Ke Wo Saaqi e Kawthar Aa-e
Chain Hee Chain He, Ab Jaam Ataa Hota He

Aastaane Ke Gada-oñ ke Liye Rahmat He
Awr A’daa Pe Shaha Qehr e Khuda Hota He

Kab Gul e Taiba Ki Khushboo Se Baseñge Dil o Jaañ
Dekhiye Kab Karam e Baad e Saba Hota He

Dekhiye Ghuncha e Dil Apna Khilega Kab Tuk
Dekhiye Kab Dil Pazh Murda, Hara Hota He

Kab Bahaar e Chaman e Taiba Nazar Aati He
Dekhiye Kab Dil Pazh Murda Hara Hota He

Sar Bulandi Usay Haasil He Janaab e Rab’b Me
Jo Ko-ee Dar Pe Tere Naasiyah Saa Hota He

 

Dil Tapa Sowz e Muhabbat Se Ke Sub Meyl Chut’ay
Tapne Ke Ba’ad Hee To Sona Khara Hota He

Kab Mit’aane Se Kisi Ke Khat e Taqdeer Mit’ay
Ho Ke Rehta He Jo Qismat Ka Likha Hota He

Mahw e Isbaat Ki Haañ Aap Ne Qudrat Paa-ee
Tum Jo Chaaho To Bura Aaj, Bhala Hota He

 

Tera Deedar Mayas’sar Ho Jisay Noor E Khuda
Usay Dunya Hee Me Deedar e Khuda Hota He

Wo Nahiñ Hashr Me Jo Hoga, Shaha Be Pardah
Balke Jo Aap Ke Pardah Me Ata Hota He

Tera Jalwa Nahiñ, Allah Ka Jalwa He Wo
Teri Soorat Se, Khuda Jalwa Numa Hota He

Tu He Aa-ina e Zaat Ahadi Ay Pyaare
Yuñ Usee Ka He Wo Jalwa, Jo Tera Hota He

Daagh e Dil Me Jo Mazaa Paaya He Noori Tum Ne
Aisa Dunya Ki Kisi Shay Me Mazaa Hota He

 

Leave a Reply