Murshid-e-Kamil ki bargah me pesh kiya jaane wala ye ek nihayat hi maqbool aur roohani Sufiana manqabat kalam hai, jo aashiqan-e-ba-safa ke dilon me murshid ki sachi mohabbat ko jagata hai. Is kalam me murshid ke dar par apni jaan nisaar karne aur unke qadmo me maut aane ki hasrat bayaan ki gayi hai. Aaiye is behad pyare aur roohani mubarrak kalam ko nihayat hi aqeedat ke sath padhein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Murshid Tere Kadmo Mein Mujhe Mar Jana Hai |
| Poet / Writer | Yakta (Traditional Sufi Poet) |
| Category | Sufiana Kalam / Manqabat-e-Murshid |
| Naatkhawan / Reciter | Feroj Chisti Nizami / Various Reciters |
Naat Lyrics in Roman
Murshid Tere Kadmo Mein Mujhe Mar Jana Hai
Rabba E Ya Gulshan Mein Tera Aasiyana Hai
Murshid Tere Kadmo Mein Mujhe Mar Jana Hai
Tum Jahaan Pe Rehte Ho Wahi Meri Jannat Hai
Panjatan Ke Saaye Mein Tera Aasiyana Hai
Murshid Tere Kadmo Mein Mujhe Mar Jana Hai
Khak Tere Qadmo Ki Surma Main Bana Lungi
Syedi Gharana Bhi Kya Sakhi Gharana Hai
Murshid Tere Kadmo Mein Mujhe Mar Jana Hai
Yaar Chhip Ke Baitha Hai Aankhon Ki Yeh Putli Mein
Parda Jo Ghaflat Ka Aankhon Se Hatana Hai
Murshid Tere Kadmo Mein Mujhe Mar Jana Hai
Tamanna Hai Yakta Ki Wahi Mere Aye Murshid
Dar Pe Tere Aaye Qaza Wahi Dafnana Hai
Murshid Tere Kadmo Mein Mujhe Mar Jana Hai
Qadri Ya Gulshan Mein Ab Tumhara Thikana Hai
Murshid Tere Kadmo Mein Mujhe Mar Jana Hai
Murshid Tere Kadmo Mein Mujhe Mar Jana Hai
Naat Lyrics in Hindi
मुर्शिद तेरे क़दमों में मुझे मर जाना है
रब्बा ए या गुलशन में तेरा आशियाना है
मुर्शिद तेरे क़दमों में मुझे मर जाना है
तुम जहाँ पे रहते हो वही मेरी जन्नत है
पंजतन के साये में तेरा आशियाना है
मुर्शिद तेरे क़दमों में मुझे मर जाना है
ख़ाक तेरे क़दमों की सुरमा मैं बना लूँगी
सय्यदी घराना भी क्या सखी घराना है
मुर्शिद तेरे क़दमों में मुझे मर जाना है
यार छिप के बैठा है आँखों की यह पुतली में
पर्दा जो ग़फ़लत का आँखों से हटाना है
मुर्शिद तेरे क़दमों में मुझे मर जाना है
तमन्ना है यक्ता की वही मेरे ऐ मुर्शिद
दर पे तेरे आये क़ज़ा वही दफ़नाना है
मुर्शिद तेरे क़दमों में मुझे मर जाना है
क़ादरी या गुलशन में अब तुम्हारा ठिकाना है
मुर्शिद तेरे क़दमों में मुझे मर जाना है
मुर्शिद तेरे क़दमों में मुझे मर जाना है
Naat Lyrics in Urdu
مرشد تیرے قدموں میں مجھے مر جانا ہے
ربا اے یا گلشن میں تیرا آشیانہ ہے
مرشد تیرے قدموں میں مجھے مر جانا ہے
تم جہاں پہ رہتے ہو وہی میری جنت ہے
پنجتن کے سائے میں تیرا آشیانہ ہے
مرشد تیرے قدموں میں مجھے مر جانا ہے
خاک تیرے قدموں کی سرمہ میں بنا لوں گی
سیدی گھرانہ بھی کیا سخی گھرانہ ہے
مرشد تیرے قدموں میں مجھے مر جانا ہے
یار چھپ کے بیٹھا ہے آنکھوں کی یہ پتلی میں
پردہ جو غفلت کا آنکھوں سے ہٹانا ہے
مرشد تیرے قدموں میں مجھے مر جانا ہے
تمنا ہے یکتا کی وہی میرے اے مرشد
در پہ تیرے آئے قضا وہی دفنانا ہے
مرشد تیرے قدموں میں مجھے مر جانا ہے
قادری یا گلشن میں اب تمہارا ٹھکانہ ہے
مرشد تیرے قدموں میں مجھے مر جانا ہے
مرشد تیرے قدموں میں مجھے مر جانا ہے