Huzoor Tajdar-e-Madina ﷺ ki bargah-e-ali me pesh kiya jaane wala ye ek nihayat hi khoobsurat, pur-sukoon aur roohani Naat-e-Paak kalam hai. Is kalam me ek aashiq-e-rasool apne maula ki nigah-e-karam ke saye me khud ko kitna mahfooz aur khush-naseeb mehsoos karta hai, us haqeeqat ko bayaan kiya gaya hai. Aaiye is mubarrak aur roohani kalam ko nihayat hi aqeedat aur adab ke sath padhein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Mustafa Ki Nazar Mein Rehta Hoon |
| Poet / Writer | Maulana Naseer Ahmad Naseer Siraji |
| Category | Naat-e-Paak |
| Naatkhawan / Reciter | Syed Zabeeb Masood |
Naat Lyrics in Roman
Mustafa ki nazar mein rehta hoon
Kitne mahfooz ghar mein rehta hoon
Saaya-e-Mustafa hai mera makaan
Main shafa’at nagar mein rehta hoon
Baagh-e-Tayba ki justujoo hai mujhe
Jannati rahguzar mein rehta hoon
Yaad aati hai jab bhi zulf-e-Huzoor
Khushbuon ke asar mein rehta hoon
Jab bhi sota hoon na’at padhte hue
Raat ko bhi sahar mein rehta hoon
‘Arsh-e-A’zam se raabita hai mera
Qurb-e-Khair-ul-Bashar mein rehta hoon
Meri manzil hai bas raza-e-Rasool
Main musalsal safar mein rehta hoon
Ab laga de mujhe bhi saahil se
Uljhanon ke bhanwar mein rehta hoon
Mujh pe saaya hai rahmeton ka, Naseer!
‘Arsa-e-be-khatar mein rehta hoon
Naat Lyrics in Hindi
मुस्तफ़ा की नज़र में रहता हूँ
कितने महफूज़ घर में रहता हूँ
साया-ए-मुस्तफ़ा है मेरा मकाँ
मैं शफ़ा’अत नगर में रहता हूँ
बाग़-ए-तयबा की जुस्तुजू है मुझे
जन्नती रहगुज़र में रहता हूँ
याद आती है जब भी ज़ुल्फ़-ए-हुज़ूर
ख़ुश्बुओं के असर में रहता हूँ
जब भी सोता हूँ ना’त पढ़ते हुए
रात को भी सहर में रहता हूँ
‘अर्श-ए-आ’ज़म से राबिता है मेरा
क़ुर्ब-ए-ख़ैर-उल-बशर में रहता हूँ
मेरी मंज़िल है बस रज़ा-ए-रसूल
मैं मुसलसल सफ़र में रहता हूँ
अब लगा दे मुझे भी साहिल से
उलझनों के भँवर में रहता हूँ
मुझ पे साया है रहमतों का, नसीर !
‘अर्सा-ए-बे-ख़तर में रहता हूँ
Naat Lyrics in Urdu
مصطفیٰ کی نظر میں رہتا ہوں
کتنے محفوظ گھر میں رہتا ہوں
سایۂ مصطفیٰ ہے میرا مکاں
میں شفاعت نگر میں رہتا ہوں
باغِ طیبہ کی جستجو ہے مجھے
جنتی رہگزر میں رہتا ہوں
یاد آتی ہے جب بھی زُلفِ حضور
خوشبوؤں کے اثر میں رہتا ہوں
جب بھی سوتا ہوں نعت پڑھتے ہوئے
رات کو بھی سحر میں رہتا ہوں
عرشِ اعظم سے رابطہ ہے میرا
قربِ خیر البشر میں رہتا ہوں
میری منزل ہے بس رضاے رسول
میں مسلسل سفر میں رہتا ہوں
اب لگا دے مجھے بھی ساحل سے
الجھنوں کے بھنور میں رہتا ہوں
مجھ پہ سایہ ہے رحمتوں کا، نصیر !
عرصۂ بے خطر میں رہتا ہوں