Na Duniya Na Mansab Na Zar Ke Liye Lyrics || ना दुनिया ना मन्सब ना ज़र के लिए

Huzoor Rahmat-e-Alam ﷺ ki bargah-e-akeedat me pesh kiya gaya ye nihayat hi roohani aur dil-kash kalam “Na Duniya Na Mansab” Peer Naseeruddin Naseer Alaihirrahma ka ek la-jawab shahkar hai. Is asar-andaz kalam me nabi-e-paak ki chaukhat par sar rakhne aur unki ek mukaddas nazar-e-karam ko hi zindagi ka asal maqsad bataya gaya hai. Aaiye is be-misaal aur ishq-e-mustafa se labrez kalam-e-naseer ko padhein aur apne dilon me ishq ki shama roshan karein.

Naat Information Details
Naat Title Na Duniya Na Mansab Na Zar Ke Liye
Poet / Writer Peer Naseeruddin Naseer
Category Naat-e-Paak / Kalam-e-Naseer
Naatkhawan / Reciter Ustad Nusrat Fateh Ali Khan

Naat Lyrics in Roman

Tamanna Hai Ke Ab Yunhi Basar Hon
Teri Chaukhat Pe Deewane Ka Sar Ho

Na Duniya Na Mansab Na Zar Ke Liye
Yeh Sar Wakf Hai Tere Dar Ke Liye

Tumhare Dar Pe Girke Phir Na Uthun
Kamaal E Na Tawaan Chaahta Hun

Mila Meri Fitrat Ko Deewanapan
Tere Husn Ne Deewana Kar Ke Liye

Tumhare Tabassum Ki Ik Ik Ada
Qayaamat Hai Ehle Nazar Ke Liye

Utha Dar Se Chilman Ko Aye Mehve Naaz
Wo Aur There Jo Gash Hue Barqe Jamaal Se Moosa Nahi Hoon Main Mujhe Taab E Nazar Bhi Hai

Utha Dar Se Chilman Ko Aye Mehve Naaz
Dikha Apna Mukhda Hamare Liye

Aasmaani Hain Haunsle Dil Ke
Dikha Apna Mukhda Hamare Liye

Mujhe Bhi Tera Dar Muyassar Hua
Jagah Mil Gayi Umar Bhar Ke Liye

Hamesha Hamein Dekhna Hai Tumhein
Tumhi Ho Hamari Nazar Ke Liye

Jo Tumhe Dekh Le Phir Aur Kise Ko Dekhe
Ik Tamaashayi Hai Taalib E Deedaar Nahi

Muhabbat Mein Kya Kya ‘Naseer’ Ehle Dil
Taraste Rahe Chaaragar Ke Liye

Naat Lyrics in Hindi

तमन्ना है कि अब यूँही बसर हों
तेरी चौखट पे दीवाने का सर हो

ना दुनिया ना मन्सब ना ज़र के लिए
ये सर वक़्फ़ है तेरे दर के लिए

तुम्हारे दर पे गिरके फिर ना उठूँ
कमाल-ए-नातवाँ चाहता हूँ

मिला मेरी फ़ितरत को दीवानापन
तेरे हुस्न ने दीवाना कर के लिया

तुम्हारे तबस्सुम की इक इक अदा
क़यामत है अहल-ए-नज़र के लिए

उठा दर से चिलमन को ऐ महव-ए-नाज़
वो और थे जो ग़श हुए बर्क़-ए-जमाल से मूसा नहीं हूँ मैं मुझे ताब-ए-नज़र भी है

उठा दर से चिलमन को ऐ महव-ए-नाज़
दिखा अपना मुखड़ा हमारे लिए

आसामनी हैं हौसले दिल के
दिखा अपना मुखड़ा हमारे लिए

मुझे भी तेरा दर मुयस्सर हुआ
जगह मिल गई उम्र भर के लिए

हमेशा हमें देखना है तुम्हें
तुम्हीं हो हमारी नज़र के लिए

जो तुम्हें देख ले फिर और किसे को देखे
इक तमाशाई है तालिब-ए-दीदार नहीं

मुहब्बत में क्या क्या ‘नसीर’ अहल-ए-दिल
तरसते रहे चारागर के लिए

Naat Lyrics in Urdu

تمنا ہے کہ اب یوں ہی بسر ہوں
تری چوکھٹ پہ دیوانے کا سر ہو

نہ دنیا نہ منصب نہ زر کے لیے
یہ سر وقف ہے تیرے در کے لیے

تمہارے در پہ گر کے پھر نہ اٹھوں
کمالِ ناتواں چاہتا ہوں

ملا میری فطرت کو دیوانہ پن
تیرے حسن نے دیوانہ کر کے لیا

تمہارے تبسم کی اک اک ادا
قیامت ہے اہلِ نظر کے لیے

اٹھا در سے چلمن کو اے محوِ ناز
وہ اور تھے جو غش ہوئے برقِ جمال سے موسیٰ نہیں ہوں میں مجھے تابِ نظر بھی ہے

اٹھا در سے چلمن کو اے محوِ ناز
دکھا اپنا مکھڑا ہمارے لیے

آسمانی ہیں حوصلے دل کے
دکھا اپنا مکھڑا ہمارے لیے

مجھے بھی تیرا در میسر ہوا
جگہ مل گئی عمر بھر کے لیے

ہمیشہ ہمیں دیکھنا ہے تمہیں
تمہی ہو ہماری نظر کے لیے

جو تمہیں دیکھ لے پھر اور کسے کو دیکھے
اک تماشائی ہے طالبِ دیدار نہیں

محبت میں کیا کیا ’نصیر‘ اہلِ دل
ترستے رہے چارہ گر کے لیے

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top