Suno Ramzan Ki Dastan Ko Suno Lyrics

Suno Ramzan Ki Dastan Ko Suno Lyrics

 

 

Suno Ramzan Ki Dastan Ko Suno
Rahmaton Ka Bayañ Hai, Bayañ Ko Suno

Ladka Tha Ek Shahr Meiñ Jo Husn Be Misal
Kamsin Tha Jiski Umr Thi Samjho Ke Saat Saal

Ramzan Ke Jo Chaand Pe Uski Nazar Padi
Uske Bhi Dil Mein Roze Ki Ik Arzoo Jagi

Roza Rakhunga Main Bhi, Ye Maañ-Baap Se Kaha
Sehri Karunga Main Bhi, Jaga Dena Tum Jara

 

Suno Ramzan Ki Dastan Ko Suno
Rahmaton Ka Bayañ Hai Bayañ Ko Suno.

 

Ladke Ki Baat Sun Li Magar Kuchh Nahin Kaha
Ladka Subha Utha To Hua Unse Wo Khafa

Samjhaya Maañ Ne Baap Ne Aye Mere Gulsitañ
Roza Nahi Hai Farz Abhi Tujh Pe Meri Jaañ

Nanhe Se Dil Ko Baat Ka Sadma Bada Hua
Maañ Se Kaha Quraan Mein Kahta Hai Ye Khuda

Roze Ki Bhookh Pyas Jo Hansti Uthaegi
Us Rozedar Ko Na Ye Dozakh Jalayegi

Qur’an Jis Mein Utra Suno, Wo Mahina Hai
Tauba Qubool Karta Khuda, Wo Mahina Hai.

 

Suno Ramzan Ki Dastan Ko Suno
Rahmaton Ka Bayañ Hai Bayañ Ko Suno.

 

Aayi Jo Sar pe Raat To Wo Jagata Raha
Sehri Bhi Karli Chupke Se, Khush Ho Ke So Gaya

Uttha Subah To Maañ Se Kaha Sara Maajra
Maañ Ne Bade Hi Pyar Se Phir Usse Ye Kaha

Roza Na Rakh Sakega Ye Zid Chhod, Maan Ja
De Doongi Apna Roza Tujhe Mere Dilruba

Todoonga Maiñ Na Roza Kabhi, Kuchh Na Khaunga
Aakhir Khuda Ko Kis Tarah Ye Muñh Dikhaunga

Maañ Ne Kaha Ke Bhook Lagi Hogi, Laadle
Garmi Hai, Tujhko Pyas Lagi Hogi, Ladle

Kahne Laga Ke Chaaheñ Zami Par Ho Aftab
Pani Ka Ek Qatra Bhi Peena Bada Azaab.

Suno Ramzan Ki Dastan Ko Suno
Rahmaton Ka Bayañ Hai Bayañ Ko Suno.

Al-Muqtasar Zohar Jo Gayi, Aa Gayi Asar
Wo Pyas Jaan Le Gayi, Pathra Gayi Nazar

Maañ Ne Kaha Ke Haaye ! Mera Laal Chal Diya
Iftari Jo Banayi Thi Wo Bhi Na Kha Saka

Roze Ka Waqt Ho Gaya Lekin Kahañ Hai Wo
Ab To Khuda Ki Raah Meiñ Aakhir Rawaañ Hai Wo

Itne Mein Ik Faqeer Ne Aa Kar Ye Di Sada
Maiñ Bhi Hooñ Rozedar Ke Le Lo Meri Dua

Jo Kuchh Bhi Paas Ho Mujhe Khana Khilaiye
Maatam Ye Kaisa Hai Zara Itna Bataiye

Aañkhoñ Se Aañsuoñ Ka Janaza Guzar Gaya
Maañ-Baap Dono Bole Ke Bachcha Hi Mar Gaya

Bola Faqeer, Mujhko Khudara Batao Tum
Laasha Kahañ Hai Bete Ka, Mujhko Dikhao Tum

Saail Ne Laash Dekh Ke Kya Jane Kya Padha !
Murde Ke Dil Pe Haath Rakha Aur Di Sada

Masoom Rozedar Ke Ab Roza Khol Tu
Kab Tak Yuñ Chup Rahega, Zara Muñh Se Bol Tu

Itna Hi Sun Ke Bachche Ne Phir Aañkh Khol Di
Maañ Maamta Ki Maari Thi Usse Lipat Gayi

Saail Nahi Tha Wo To Farishta Khuda Ka Tha
Bachche Ko Zinda Karke Jo Rooposh Ho Gaya

Aati Hai Imtihaan Ki Insan Pe Ghadi
Allah Pe Jaan De-De Wo Marta Nahi Kabhi

Marta Nahi Kabhi
Marta Nahi Kabhi
Marta Nahi Kabhi

 

 

Leave a Reply