Rehmat Baras Rahi Hai Naat Lyrics || रहमत बरस रही है मोहम्मद के शहर में

Rehmat Baras Rahi Hai Muhammad Ke Shaher Mein ek mashhoor aur dilon ko sukoon dene wali naat hai. Is naat mein Madina Munawwara ki barkaton, rehmaton aur roohani faza ka zikr kiya gaya hai. Aashiqan-e-Rasool ﷺ jab is kalaam ko padhte hain to unke dil Madine ki yaadon aur huzoor ﷺ ki muhabbat se bhar jaate hain.

 

 


Naat Information

Details Information
Naat Name Rehmat Baras Rahi Hai Muhammad Ke Shaher Mein
Genre Naat Sharif
Language Urdu
Theme Madina Munawwara
Poet Unknown
Writer Unknown
Type Hamd-o-Naat
Famous For Madina Ki Barkatein Aur Rehmatein

Rehmat Baras Rahi Hai Muhammad Ke Shaher Mein Lyrics in Roman English

Ye naat Madina Tayyiba ki fazilat aur uski roohani barkaton ko bayan karti hai. Isme Aaqa ﷺ ke shaher ki rehmat aur noor ka zikr kiya gaya hai.

Rehmat Baras Rahi Hai Muhammad Ke Shaher Mein
Har Shey Mein Tazgi Hai Muhammad Ke Shaher Mein

Har Eik Bhar Raha Hai Yahan Damane Murad
Makhlook Aa Rahi Hai Muhammad Ke Shaher Mein

Aate Hain Bakhshwane Gunahon Ko Gunahgar
Qismat Badal Rahi Hai Muhammad Ke Shaher Mein

Har Shey Mein Tazgi Hai Muhammad Ke Shaher Mein

Ye naat Madina Munawwara ki roohani fiza aur uski barkaton ki taraf ishara karti hai. Aashiqan-e-Rasool ﷺ is kalaam ko badi aqeedat ke saath padhte hain.

Daulat Sukoon Ki Har Jagah Hum Dhoondte Rahe
Aakhir Ye Mil Gai Hai Muhammad Ke Shaher Mein

Har Simt Aa Rahi Hain Saday Darood Ki
Ik Dhoom Si Machi Hai Muhammad Ke Shaher Mein

Aey Sa Laga Ke Samne Khud Aa Gaye Huzoor
Ek Naat Jab Padhi Hai Muhammad Ke Shaher Mein

Roshan Hai Jis Ke Noor Se Dono Jahan Riaz
Aey Si Shama Jali Hai Muhammad Ke Shaher Mein

Rehmat Baras Rahi Hai Muhammad Ke Shaher Mein
Har Shey Mein Tazgi Hai Muhammad Ke Shaher Mein


 

रहमत बरस रही है मुहम्मद के शहर में
हर शै में ताज़गी है मुहम्मद के शहर में

हर एक भर रहा है यहाँ दामने मुराद
मखलूक आ रही है मुहम्मद के शहर में

आते हैं बख्शवाने गुनाहों को गुनाहगार
किस्मत बदल रही है मुहम्मद के शहर में

हर शै में ताज़गी है मुहम्मद के शहर में

दौलत सुकून की हर जगह हम ढूंढते रहे
आख़िर ये मिल गई है मुहम्मद के शहर में

हर सिम्त आ रही हैं सदाए दुरूद की
इक धूम सी मची है मुहम्मद के शहर में

ऐ सा लगा के सामने खुद आ गए हुज़ूर
एक नात जब पढ़ी है मुहम्मद के शहर में

रोशन है जिस के नूर से दोनों जहाँ रियाज़
ऐ सी शमा जली है मुहम्मद के शहर में

रहमत बरस रही है मुहम्मद के शहर में
हर शै में ताज़गी है मुहम्मद के शहर में


 

رحمت برس رہی ہے محمد کے شہر میں
ہر شے میں تازگی ہے محمد کے شہر میں

ہر ایک بھر رہا ہے یہاں دامنِ مراد
مخلوق آ رہی ہے محمد کے شہر میں

آتے ہیں بخشوانے گناہوں کو گناہگار
قسمت بدل رہی ہے محمد کے شہر میں

ہر شے میں تازگی ہے محمد کے شہر میں

دولت سکون کی ہر جگہ ہم ڈھونڈتے رہے
آخر یہ مل گئی ہے محمد کے شہر میں

ہر سمت آ رہی ہیں صدائے درود کی
اک دھوم سی مچی ہے محمد کے شہر میں

ایسا لگا کہ سامنے خود آ گئے حضور
ایک نعت جب پڑھی ہے محمد کے شہر میں

روشن ہے جس کے نور سے دونوں جہاں ریاض
ایسی شمع جلی ہے محمد کے شہر میں

رحمت برس رہی ہے محمد کے شہر میں
ہر شے میں تازگی ہے محمد کے شہر میں


 

Rehmat Baras Rahi Hai Muhammad Ke Shaher Mein is one of the most beloved naat sharif describing the blessings and spiritual beauty of Madina Munawwara. The words of this naat create love and longing for the city of the Prophet ﷺ and remind believers of the peace and mercy found in the blessed city.

This kalam is frequently recited in Mahafil-e-Milad, Naat gatherings and Islamic events throughout the world.


 

 

 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top