SAAYA E KHAYRUL WARA MILTA NAHI LYRICS

SAAYA E KHAYRUL WARA MILTA NAHI LYRICS

 

Do JahaaƱ Me Ko-ee Tum Sa Dusra Milta NahiƱ
Dhoondte Phirte HaiƱ Mehr o Maah Pata Milta NahiƱ

He Rag e Gardan Se Aqrab, Nafs Ke Andar He Wo
YuƱ Galay Se Mil Ke Bhi, Wo Juda Milta NahiƱ

Aab e Bahr e Ishq JaanaaƱ, Seene Me He Mawjzan
Kaun Kehta He HameƱ, Aab e Baqaa Milta NahiƱ

Aab e Taigh e Ishq Pee Kar, Zinda e Jaawed Ho
Gham Na Kar Jo Chashma e Aab o Baqaa Milta NahiƱ

Doob Tu Bahr e Fana Me Phir Baqaa Paa-ega Tu
Qabl Az Bahr e Fana, Bahr e Baqaa Milta NahiƱ

Duniya He Awr Apna Matlab, Be Gharaz Matlab Ko-ee
Aashna Milta NahiƱ, Na-Aashna Milta NahiƱ

Zarā€™rah-Zarā€™rah Khaak Ka Chamka He Jis Ke Noor Se
Be Baseerat He Jisay Wo Mah Liqa Milta NahiƱ

Zarā€™rah-Zarā€™rah Se ā€˜AyaaƱ He, Aisa Zaahir Ho Ke Bhi
Qatre-Qatre Me NihaaƱ He, Barmala Milta NahiƱ

Jo Khuda Deta He Milta He Isee Sarkaar Se
Kuch Kisi Ko Haq Se Us Dar Ke Siwa Milta NahiƱ

Kya ā€˜Ilaaqa Dushman e Mahboob Ko Allah Se
Be Raza e Mustafa Har Giz Khuda Milta NahiƱ

Ko-ee Maange Ya Na Maange Milne Ka Dar He Yahi
Be ā€˜Ataa e Mustafa-i Mud-daā€™a Milta NahiƱ

Rahnumao-Ʊ Ki See Soorat Raah-maari Kaam He
Rahzan HaiƱ Koo Ba-koo Awr Rahnuma Milta NahiƱ

Ahle Gahle HaiƱ Mashaā€™ikh Aajkal Har-Har Gali
Be Hama Wa Ba Hama Mard e Khuda Milta NahiƱ

HaiƱ Safa e Zaahiri Ke Saaz o SaamaaƱ Khoob-Khoob
Jis Ka Baatin Saaf Ho, Wo Ba Safa Milta NahiƱ

Bar Zabaan Tasbeeh Wa Dar e Dil Gaaw Khar Ka Dawr Ho
Aise Milte HaiƱ Buhat Is Se Wara Milta NahiƱ

Bas Yahi Sarkaar He Is Se Hamesha Paa-enge
Dene Waale Dete HaiƱ Kuch Din Sadaa Milta NahiƱ

Door Saahil Mawj Haa-il Paara Beyrā€™a Kijiye
Naa-oƱ He Manjdhaar Me Awr Na Khuda Milta NahiƱ

Wasl e Maula Chahate Ho To Wasila Dhoond Lo
Be Wasila Najdiyo! Har Giz Khuda Milta NahiƱ

Daaman e Mahboob Chorā€™ay Maange Khud Allah Se
Aise Mardak Ko Khuda Se Mud-daā€™a Milta NahiƱ

Zarā€™rah, Zarā€™rah, Qatrah, Qatrah, Se ā€˜AyaaƱ Phir Bhi NihaaƱ
Ho Ke Sha e Rag Se QareeƱ Tar, He Juda, Milta NahiƱ

Taa-ir e JaaƱ Ki Tarah Dil Urā€™h Ke Jaa Baytha KahaaƱ
Mere Pehlu Me Abhi Tha Kya Huwa Milta NahiƱ

Dahriya Uljha Huwa He Dahr Ke PhandoƱ Me YuƱ
Saara Uljha Saamne He Awr Sira Milta NahiƱ

Ilm Saaneā€™ Hota He, Masnuā€™ Se Lekin Isay
Dekh Kar Masnuā€™ Saaneā€™ Ka Pata Milta NahiƱ

Neā€™mat e Kaunain Dete HaiƱ Do Aalam Ko Yahi
Maang Dekho Un Se, Tum Dekho To Kya Milta NahiƱ

Sub Se Phir Kar Aa-e HaiƱ Ab Shaah e Waala Ke Huzoor
Juz Tumhare Shaafa e Roz e Jaza Milta NahiƱ

Dard Mandi Ke Liye Aadam Se Taa Esa Gaye
De Jo Apne Dard Ki Hakmi Dawa Milta NahiƱ

Jin Se Umeed Karam Thee De Diya Sub Ne Jawaab
Aaj Ke Kaam Aane Waala Khusrawa Milta NahiƱ

Yaas Ka Aalam He Sub Se Aas Toā€™ray Aa-e HaiƱ
Zaat E Waala Ke Siwa, Awr Aasra Milta NahiƱ

Jal Rahe HaiƱ Phunk Rahe HaiƱ Aashiqaan e Sokhta
Dhoop He Awr Saaya e Zulf e Rasa Milta NahiƱ

Wo He Khursheed e Risaalat Noor Ka Saaya KahaaƱ
Is Sabab Se Saaya e Khayrul Wara Milta NahiƱ

Dushman e JaaƱ Se KaheeƱ Bud-tar He Dushman Deen Ka
Un Ke Dushman Se Kabhi Un Ka Gada Milta NahiƱ

Qaasim e Neā€™mat Se Hum MaangeƱ To Najdi YuƱ BakeƱ
KyuƱ Nabi Se Maangiye, Allah Se Kya Milta NahiƱ

Mustafa Ma Jiā€™ta Ilā€™la Rahmatulil Aalameen
Chaarah Saaz Dusra Tere Siwa Milta NahiƱ

Khud Khuda Be Waasta De, Ye Humaara Munh KahaaƱ
Waasta Sarkaar HaiƱ Be Waasta Milta NahiƱ

Hum To Hum, Wo Ambia Ke Bhi Liye He Waasta
Unko Bhi Jo Milta He, Be Waasta Milta NahiƱ

Ambia, Baā€™az Awliyah Faa-iz He Is Sarkaar Se
Har Wali Ko Raasta, Be Waasta Milta NahiƱ

DonoƱ Aalam Paate HaiƱ Sadqa Isee Sarkaar Ka
Khud Khuda Se Paa-e Jo Un Ke Siwa Milta NahiƱ

Zan, Zameen o Zor, Awr Zar Ke HaiƱ Gaahak Har KaheeƱ
Dil Se Jo Ho Taalib e Zikr e Khuda Milta NahiƱ

Chaar Zaa, Ek Zaal Ke Badle Me LeƱ Chawkas Rahe
Ye Na Samjhe Ye Ikaa-ee Sekrā€™a Milta NahiƱ

Daad e Dunya Kaisa, Uff Sunte NahiƱ Faryaad Bhi
Sunā€™ne Waala Dard Ka Ko-ee Shaha Milta NahiƱ

Baap, MaaƱ, Bhaā€™ee, Bahan, Farzand o Zan, Ik Ik Juda
Ghamzada Har Ek He, Awr Ghamzuda Milta NahiƱ

Jo Muhib Ki Cheez He, Mahboob Ke Qabze Me He
Haath Me Ho Jis Ke Sab Kuch, Us Se Kya Milta NahiƱ

Dil Sataani Karne Waale HaiƱ HazaaroƱ Dil-ruba
Dil Nawaazi Karne Waala Dil-Ruba Milta NahiƱ

Dil Gaya Achā€™cha Huwa, Iska NahiƱ Gham; Gham He Ye,
Le Gaya Pehlu Se Jo, Wo Dil-Ruba Milta NahiƱ

Muhy e Sunnat, Haami e Milā€™lat, Mujadā€™did Deen Ka
Paykar e Rushd o Huda Ahmad Raza Milta NahiƱ

Be Nawa Ko Be Sada Milta He Is Sarkaar Se
Doodh Bhi Betay Ko MaaƱ Se Be Sada Milta NahiƱ

Kis Tarah Ho Haazir e Dar Noori e Be Par Shaha
Naakay Rokay Dushmano Ne Raasta Milta NahiƱ

 

Leave a Reply