sanson ki maala pe simrun main pi ka naam Lyrics

sanson ki maala pe simrun main pi ka naam Lyrics

 

sanson ki maala pe simrun main pi ka naam
apne mann ki main jaanun aur pi ki mann ki raam

yahi meri bandagi hai yahi meri pooja
sanson ki maala pe simrun main pi ka naam

ik ka saajan mandir main ik ka preetam masjid main
aur main sanson ki maala pe simrun main pi ka naam

papeehe o papeehe tu yeh kyun aansu bahaata hai
zubaan pe teri pi pi kis liye reh reh ke aata hai
sada e dard o gham kyun dardmandon ko sunaata hai
jo kud hi jal raha ho aur usko kyun jalaata hai
kaatun tori chonch`papihaara daarun wa pe loon
main pi ki aur pi mora tu pi kahe hai kaun

ab kismat ke haath hai iss bandhan ki laaj
maine to mann likh diya saanwariya ke naam

main pi ki moorat ko poojun
main pi ki soorat ko poojunn

pi ke naam ka hun main pujaari
naam pi ka har saans mein daari
simrun main pi ka naam

ham aur nahi kich kaam ke
matware pi ke naam ke

sajni paati tab likhun
jo preetam hon pardes
tann mein mann mein piya basein
bhejun kisse sandes

har har mein hai har basse
har har ko har ki aas
har har ko har har dhoondh phiri
aur har hain more paas

deen dharam sab chchor ke main toh
pi ki dhun mein sudh budh khoyi
jit jaaun gun pi ke gaaun
aur nahi koi duja kaam

prem ke rang mein aisi doobi bann gaya ek hi roop
prem ki maala japte japte aap banni main shaam

aa piya in nainan mein jo palak dhaamp tohe loon
na main dekhun gair ko na tohe dekhan dun

preetam ham tum ek hain jo kehan sunan mein do
mann ko mann se toliye to do mann kabhun na ho

preetam tumre sang hai apna raaj suhag
tum naahi to kachu naahi tum mile to jaage bhaag

aughat pooja paath taje aur lage prem ka rog
preetam ka bas dhyan rahe yahi hai apna jog

haath chchudaawat jaat ho jo nirmil jaan ke mohe
hirde me se jaao to tab main jaanun tohe

har dam dekho mora peharwa sada rahat more ghar maahi
andar bahir aap wahi hai main naahi main naahi

joganiya ka bhes bana ke pi ko dhoondhan jaaun ri
nagri nagri dware dware pi pi shabad sunaaun ri

daras bhikhaari jag mein ho ke darshan bichchiya paaun ri
tann mann un par waarun pi ki joganiya kehraun ri

preetam ka kuch dosh nahi hai woh toh hain nirdosh
apne aap se baatein karke ho gayi main badnam

prem pyaala jab se piya hai ji ka hai yeh haal
angaaron pe neend aa jaaye kanton pe aaraam

jeevan ka singaar hai preetam maang ka hai sindoor
preetam ki nazron se girkar jeena hai kis kaam

 

Leave a Reply