Shah E Arab Pe Dil Mera Qurban Ho Gaya Lyrics
Ya Khuda Jism Mein Jab Tak Yeh Mere Jaan Rahe
Tujhpe Sadke Tere Mehboob Pe Qurbaan Rahe
Kuch Rahe Ya Na Rahe Par Yeh Dua Hai Ke Ameer
Niza Ke Waqt Salaamat Mera Imaan Rahe
Taazeem Se Leta Hai Khuda Naam E Muhammad
Kya Naam Hai Aye Salle Allah Naam E Muhammad
Allah Kare Uspe Haraam Atishe Do Zakh
Jis Shakhs Ke Ho Dil Pe Likha Naam E Muhammad
Main Rukh Dayaar E Haram Se Badal Nahi Sakta
Khayaal Dil Se Nabi Ka Nikal Nahi Sakta
Dar E Huzoor Se Hargiz Main Tal Nahi Sakta
Fakeer Gair Ke Tukdon Pe Pal Nahi Sakta
Jise Ishq E Nabi Haasil Nahi Hai
Munawwar Us Bashar Ka Dil Nahi Hai
Na Ho Jis Mein Shah E Bat Ha Ki Ulfat
Kasam Allah Ki Woh Dil Nahi Hai
Shah E Arab Pe Dil Mera Qurban Ho Gaya
Jal Jal Ke Gar Marre To Tajalli Pighalti Thi
Lekin Yahi To Kaul Zuban E Bilaal Par
Shah E Arab Pe Dil Mera Qurban Ho Gaya
Ab Maghfirat Ke Waaste Saamaan Ho Gaya
Chehra Mere Nabi Ka Khuda Ki Kitaab Hai
Jisne Bhi Dekha Haafiz E Quran Ho Gaya
Koi Daata Bana Koi Khwaja Bana
Koi Ghaus Bana Koi Sabir Bana
Koi Dehli Mein Jaake Nizaami Bana
Koi Ganj E Shakar Bakhuda Ho Gaya
Jisne Dekhe Nain Matwale Tere
Maston Mein Khud Wo Na Ho Toh Kya Kare
Ik Nazar Jo Dekh Le Kehta Phire
Aafa Gaha Gar Deeda Am
Mehar E Butan Gar Dida Um
Kis Yaar Khugan Deeda Um
Lekin Ko Cheez E Dighar I
Nisbat Mili Hai Jab Se Rasool E Kareem Ki
Har Kaam Mere Waaste Aasaan Ho Gaya
Kaisi Ata Hai Sayyid E Khairul Anaam Ki
Dar Pe Fakeer Aaya Toh Sultaan Ho Gaya
Choome Kadam Toh Arsh Azmat Chamak Gayi
Waah Kya Shaan Hai Aye Sahib E Azra Teri
Jootiyan Choomta Hai Arsh E Mualla Teri
Choome Kadam Toh Arsh Azmat Chamak Gayi
Arsh E Bareen Pe Aapka Ehsaan Ho Gaya