Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hoon Lyrics

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hoon Lyrics

 

By Idris Beg / Leave a Comment / Qawwali Lyrics, Rahat
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hoon Qawwali Lyrics
Qawwal: Ustad Rahat Fateh Ali Khan
Poet: Hazrat Allama Iqbal r.a.

|ą¤¹ą¤æą¤Øą„ą¤¦ą„€ ą¤²ą¤æą¤°ą¤æą¤•ą„ą¤ø |

Naala Hai Bulbul-e-Shourida tera Khaam abhi

Apne Seene MeiƱ Ise Aur Zara Thaam Abhi

Pukhta Hoti hai agar Maslehat-Andaish ho Aqal
Ishq ho Maslehat-Andaish to hai Khaam abhi

 

Bekhatar Kood Pada Aatishishq
Aqal hai Mahw-e-Tamaasha-e-Lab-e-Baam abhi

Ishq Farmooda-e-Qasid se Sabak Ghaam-e-Aā€™mal
Aqal Samjhi hi nahiƱ Maani-e-Paighaam abhi

 

Shewa-e-Ishq hai Azadi-e-Dehraa shobi
Tu hai Zunnari-e-Butkhana-e-Ayyam abhi

 

Tere ishq ki
Tere ishq ki Intaha Chahta HooƱ.
Tere ishq ki Intaha Chahta HooƱ.

Meri saadgi dekh
Meri saadgi dekh, kya chahta hoon

Tere ishq ki intaha chahta hoonā€¦
Tere ishq ki intaha chahta hoonā€¦

Tere ishq ki Intaha..intahaā€¦.intaha chahta hoonā€¦
Tere ishq ki Intaha chahta hoonā€¦

 

Tere ishq mein, Tere ishq meiƱā€¦
Tere ishq mein, Tere ishq meiƱā€¦

 

Ishq teri Intaha, ishq meri Intaha
Tu bhi abhi na Tamaam, mein bhi abhi na Tamaam

Tere Ishq meiƱ, Tere Ishq meiƱā€¦

 

Agar ho Ishq toh hai Kufr bhi Musalmaani
Na ho toh Mard-e-Musalman bhi Kaafir-o-Zandeeq

Tere ishq mein, Tere ishq meinā€¦

 

Banaya ishq ne Dariya na payda kara mujh ko
Ye meri khud-Nigehdari mera sahil na ban jaye

Tere ishq mein, Tere ishq meinā€¦
Tere ishq mein, Tere ishq meinā€¦
Tere ishq mein, Tere ishq meinā€¦

 

Rulaati hai Mujhe RaatoƱ ko Khaamoshi SitaaroƱ ki
Niraala Ishq hai mera, niraale mere Naale haiƱ

Tere ishq mein, Tere ishq meinā€¦

 

Ishq Dam-e-Jibraeel, Ishq Dil-e-mustafa
Ishq Khuda ka Rasool, Ishq Khuda ka Kalaam

Tere ishq mein, Tere ishq meinā€¦

 

Aqal-o-Dil-o-Nigah ka Murshid-e-AwwaliƱ hai ishq
Ishq na ho to Sharaa-o-DeeƱ But-kada-e-Tasawwuraat

Sidq-e-Khaleel bhi hai Ishq, Sabr-e-Husain bhi hai Ishq
Maarkaa-e-Wajood meiƱ Badr-o-Hunain bhi hai Ishq

Tere ishq mein, Tere ishq meinā€¦

 

Jamaal-e-Ishq-o-Masti Nay-Nawazi
Jalaal-e-Ishq-o-Masti Be-Niyazi

Kamaal-e-Ishq-o-Masti Zarf-e-Haider
Zawaal-e-Ishq-o-Masti Harf-e-Raazi

Tere ishq mein, Tere ishq meinā€¦
Tere ishq mein, Tere ishq meinā€¦

 

Kabhi Aawara-o-Be-Khan-ma ishq
Kabhi Shah-e-ShahaƱ NausherwaƱ ishq

Kabhi MaidaƱ meiƱ aata hai Zirah-posh
Kabhi UryaƱ-o-Be-Tegh-o-SanaaƱ Ishq

Tere ishq mein, Tere ishq meinā€¦
Tere ishq mein, Tere ishq meinā€¦

 

Kabhi Tanhai-e-Koh-o-Daman Ishq
Kabhi Souz-o-Suroor-o-Anjuman ishq

Kabhi Sarmaya-e-Mehrab-o-Mimbar
Kabhi Maula Ali Khaibar-Shikan Ishq

Tere ishq mein, Tere ishq meinā€¦

 

Tere ishq ki inteha chahta hoon..
Tere ishq ki inteha chahta hoon..

Meri Saadgi dekh
Meri Saadgi dekh, kya Chahta hoon

Tere ishq ki Intaha Chahta hooƱ..
Tere ishq ki Intaha Chahta hooƱ..

 

Yeh Jannat Mubaarak rahe ZahidoƱ koā€¦
Yeh Jannat Mubaarak rahe ZahidoƱ koā€¦

Umeed-e-Hoor ne sab kuch sikha rakha hai Waa-iz ko
Ye Hazrat dekhne meiƱ seedhe-saadhe bhole-bhaale haiƱ

Yeh Jannat Mubaarak rahe ZahidoƱ koā€¦

Yeh Jannat Mubaarak rahe ZahidoƱ ko
Ke meiƱ Aapka Saamna Chahta hooƱ

 

Kabhi ae Haqeekat-e-Muntazir, Nazar aa Libaas-e-Majaaz meiƱ
Ke HazaroƱ Sajde tadap rahe haiƱ teri Jabeen-e-Niyaaz meiƱ

Ke mein aapka saamna chahta hoonā€¦
Ke mein aapka saamna chahta hoonā€¦

 

Koi dam ka MehmaaƱ hoon ae Ahl-e-Mehfil..
Koi dam ka MehmaaƱ hoon ae Ahl-e-Mehfil..

 

NahiƱ Begaan-gi Achhi Rafiq-e-Raah-e-Manzil se
Theher ja ae Sharar, Hum bhi to Aakhir mitne waale hai

Koi dam ka MehmaaƱ hoon ae Ahl-e-Mehfilā€¦
Koi dam ka MehmaaƱ hoon ae Ahl-e-Mehfilā€¦

 

Koi dam ka mehmaan hoon ae ahl-e-mehfil
Charagh-e-Sahar hoon, bujha chahta hoon.
ā€¦bujha chahta hoon
charagh-e-seher hoon, bujha chahta hoon.

 

Sitam ho, ke ho Waada-e-Be-Hijaabiā€¦
Waada-e-,ā€¦ā€¦.Waada- ā€¦.e-Be-Hijaabiā€¦
Sitam ho, ke ho Waada-e-Be-Hijaabi

Koi baat Sabr-AazmaƱ chahta hoon
Koi baat Sabr-AazmaƱ chahta hoon

 

Ishq bhi ho Hijaab meiƱ, Husn bhi ho Hijaab meiƱ
Ya tu Khud Aashkaar ho, Ya mujhe Aashkaar kar

Koi baat Sabr-AazmaƱ chahta hoon..

 

Bhari Bazm meiƱ
Bhari Bazm meiƱ Raaz ki Baat keh diā€¦

Raaz ā€¦.. Raaz ki Baat keh diā€¦
Bhari Bazm meiƱ Raaz ki baat keh di

Bada be-adab hoon, sazaa chahta hoon
Bada be-adab hoon, sazaa chahta hoonā€¦

 

Agar kaj-rau haiƱ Anjum, AsmaƱ tera hai ya mera ?
Mujhe Fikr-e-jahan kyuƱ ho, jahaƱ tera hai ya mera?

Agar Hungaama-haaye shauq se hai Laa-MakaaƱ khali
Khata kis ki hai Ya Rab, Laa-MakaaƱ Tera hai ya mera?

 

Use Subahe-Azal inkaar ki jurrat hui kyuƱ-kar
Mujhe maloom kya, woh RazdaaƱ Tera hai ya mera

Muhammad ļ·ŗ bhi Tera, Jibreel bhi, Quran bhi Tera
Muhammadļ·ŗ bhi Tera, Jibreel bhi, Quran bhi Tera
Magar ye Harf-e-SheeriƱ tarjuma tera hai ya mera?

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoonā€¦

 

Meri Jafa-Talabi ko duaen deta hai
wo Dasht-e-saada, wo tera Jahaan-e-be-bunyad

Maqam-e-shauq tere QudsiyoƱ ke bas ka nahiƱ
Unhi ka kaam hai, jin ke hausle haiƱ zayyad

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoonā€¦

 

Huzur-e-haq meiƱ
Huzur-e-haq meiƱ Israfeel ne meri Shikayat ki
Ye Banda waqt se pehle Qayamat kar na de barpa

Main sazaa chahta hoon, bada be-adab hooƱā€¦

 

Bagh-e-Bahisht se mujhe Hukm-e-safar diya tha kyuƱ
Kaar-e-jahaaƱ daraaz hai, ab mera Intizaar kar

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoonā€¦

 

Faarig to na baithega Mehshar meiƱ junooƱ mera
Ya apna GirebaaƱ chaak, ya daaman-e-yazdaaƱ chaak

Main sazaa chahta hoon, bada be-adab hoonā€¦

 

Roz-e-hisaab jab mera pesh ho daftar-e-aā€™mal
Aap bhi sharmsaar ho, mujh ko bhi sharmsaar kar

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoonā€¦
Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoonā€¦

 

Hum ko Jam-eeyat-e-Khatir ye Pareshani thi
Warna Ummat Tere Mehboob ki Deewaani thi

 

Hum se Pehle tha Ajab tere JahaƱ ka Manzar
KahiƱ Masjood the Patthar, KahiƱ Maabood Shajar

Khu-gar-e-Paikar-e-Mahsoos thi InsaƱ ki Nazar
Maanta phir Koi Andekhe Khuda ko kyuƱkar

Tujh ko Maaloom hai, Leta tha koi Naam Tera
Tujh ko Maaloom hai, Leta tha koi Naam Tera
Quwwat-e-Bazu-e-Muslim ne kiya Kaam Tera

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoonā€¦
Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoonā€¦
Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoonā€¦

 

Safā€™ha-e-dahr se batil ko mitaya ham ne
Nau-e-insaƱ ko ghulami se chhudaya ham ne

Tere kaā€™abe ko jabeenoƱ se basaya ham ne
Tere qurā€™an ko seenoƱ se lagaya ham ne

Phir bhi ham se ye gila hai ke wafa-dar nahiƱ
Phir bhi ham se ye gila hai ke wafa-dar nahiƱ
Hum wafa-dar nahiƱ, too bhi to dildar nahiƱ ..

Mai sazaa chahta hoon, bada be-adab hooƱā€¦
Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoonā€¦

 

UmmateƱ aur bhi haiƱ un meƱ gunahgar bhi haiƱ
Ijz waale bhi haiƱ, mast-e-mai-e-pindaar bhi haiƱ

In meƱ kaahil bhi haiƱ, ghaafil bhi haiƱ, hushiyar bhi haiƱ
SaikdoƱ haiƱ ki tere naam se be-zaar bhi haiƱ

RahmateƱ haiƱ teri Aghyar ke KaashaanoƱ par
Barq girti hai to bechaare MusalmaanoƱ par ..

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoonā€¦

 

BĆ¼t sanam-khanoƱ meƱ kahte haiƱ musalmān gaye
Hai khushi inko ke kaā€™abe ke nigahban gaye

Manzil-e-dahr se ooƱtoƱ ke hudi-įø³hwaan gaye
Apni baghloƱ meƱ dabaa-e hue qurā€™aan gaye

Khanda-zan kufr hai, Ehsaas tujhe hai ki nahi
Apni Tauheed ka kuchh paas tujhe hai ki nahi

Sazaa chahta hoon, bada be-adab hooƱā€¦
Sazaa chahta hoon, bada be-adab hoonā€¦

Bada be-adab hooƱ, saza chahta hoon

 

Tere ishq ki inteha chahta hoon
Meri saadgi dekh,
Meri saadgi dekh, kya chahta HooƱ

Tere Ishq ki Intaha chahta hooƱ
Tere Ishq ki Intaha chahta hooƱā€¦

Leave a Reply