Thaama Jis ne dar tumhara hazrat-e-hafiz wazeer Naat Lyrics || थामा जिसने दर तुम्हारा हज़रत-ए-हाफ़िज़ वज़ीर

Hazrat Syedna Hafiz Wazeer Ali Shah Naqshbandi sahab ki bargah-e-akeedat mein pesh kiya gaya yeh ek nihayat hi maqbool aur roohani manqabat hai[1].
Syed Sharful Haq Naqshbandi sahab ke is khoobsurat kalam mein apne murshid-e-karam ki bargah se milne wale faiz-o-karam aur haseen nazaaron ka zikr hai[1].
Aaiye is mutabarrak aur roohani kalam ke har ek sher ko nihayat hi adab, aqeedat aur mohabbat ke sath padhein aur iski barkat haasil karein.

Naat Information Details
Naat Title Thaama Jis Ne Dar Tumhara Hazrat-e-Hafiz Wazeer
Poet / Writer Sayyed Sharful Haq Naqshbandi Mujaddidi
Category Manqabat-e-Ghaus-e-Zaman / Naqshbandi Sufi Manqabat
Naatkhawan / Reciter Huzoor Syed Sharfulhaque Naqshbandi

Naat Lyrics in Roman

Thaama Jis ne dar tumhara hazrat-e-hafiz wazeer
Aauz par iska hai tara hazrat-ehafiz wazeer.

Kat gayi hai umr saari jurm wa gaflat mein meri
Aapka hi hai sahara hazrat-e hafiz wazeer.

Phans gaya tha qafila kuchh talibo ka bahar mein
Aap ne jakar sanwara hazrat-e hafiz wazeer

Ho taswir shaikh ka tari humare qalb par
Rabta ye ho humara hazrate hafiz wazeer

Ho raha urse mubarak aaj kitni shaan se
Faiz hai jaari tumhara hazrate hafiz wazeer

Hum sabhi mahshar me honge aap ke saaye tale
Kiya haseen hoga najara hazrate hafiz wazeer

Chhu nahi sakti hume gardise lail-o- nihaar
Sir pe saaya hai tumhara hazrate hafiz wazeer

Maarifat ka jaam sharful ko ataa kar dijiye
Naam lewa hai tumhara hazrate hafiz wazeer

Naat Lyrics in Hindi

थामा जिसने दर तुम्हारा हज़रत-ए-हाफ़िज़ वज़ीर
औज पर उसका है तारा हज़रत-ए-हाफ़िज़ वज़ीर

कट गयी है उम्र सारी जुर्म-ओ-ग़फ़लत में मेरी
आपका ही है सहारा हज़रत-ए-हाफ़िज़ वज़ीर

फंस गया था क़ाफ़िला कुछ तालिबो का बहर में
आपने जाकर सँवारा हज़रत-ए-हाफ़िज़ वज़ीर

हो तसव्वुर शैख़ का तारी हमारे क़ल्ब पर
राब्ता ये हो हमारा हज़रत-ए-हाफ़िज़ वज़ीर

हो रहा उर्स-ए-मुबारक आज कितनी शान से
फ़ैज़ है जारी तुम्हारा हज़रत-ए-हाफ़िज़ वज़ीर

हम सभी महशर में होंगे आप के साए तले
क्या हसीं होगा नज़ारा हज़रत-ए-हाफ़िज़ वज़ीर

छू नहीं सकती हमें गर्दिश-ए-लैल-ओ-निहार
सिर पे साया है तुम्हारा हज़रत-ए-हाफ़िज़ वज़ीर

मारिफ़त का जाम शर्फ़ुल को अता कर दीजिए
नाम लेवा है तुम्हारा हज़रत-ए-हाफ़िज़ वज़ीर

Naat Lyrics in Urdu

تھاما جس نے در تمہارا حضرتِ حافظ وزیر
اوج پر اس کا ہے تارا حضرتِ حافظ وزیر

کٹ گئی ہے عمر ساری جرم و غفلت میں میری
آپ کا ہی ہے سہارا حضرتِ حافظ وزیر

پھنس گیا تھا قافلہ کچھ طالبوں کا بحر میں
آپ نے جا کر سنوارا حضرتِ حافظ وزیر

ہو تصور شیخ کا طاری ہمارے قلب پر
رابطہ یہ ہو ہمارا حضرتِ حافظ وزیر

ہو رہا عرسِ مبارک آج کتنی شان سے
فیض ہے جاری تمہارا حضرتِ حافظ وزیر

ہم سبھی محشر میں ہوں گے آپ کے سائے تلے
کیا حسیں ہوگا نظارہ حضرتِ حافظ وزیر

چھو نہیں سکتی ہمیں گردشِ لیل و نہار
سر پہ سایہ ہے تمہارا حضرتِ حافظ وزیر

معرفت کا جام شرفل کو عطا کر دیجیے
نام لیوا ہے تمہارا حضرتِ حافظ وزیر

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top