unke-sang-e-dar-se-lyrics

raah mein jab koi dushwaar maqaam aata hai
jaane kyun lab par mere aap ka naam aata hai

ye tasawwar fakat iss baat par nahi maukoof
jisse nisbat ho har haal mein kaam aata hai

hujoom gham se jab ghabra gaye hain
hum unke aastan pe aa gaye hain

unka aastan allah o akbar
sahaare besahaare paa gaye hain

unke sang e dar se kuch aisi muhabbat ho gayi
umr bhar ke ek sajde mein ibaadat ho gayi

aye junoon e shauq taqmeel e muhabbat ho gayi
yaar ki soorat ba zahir meri soorat ho gayi

iss kadar unka tasawwur kahin badh jaata hai
aaeena dekhun to muhn unka nazar aata hai

mere dil mein hai pyar ki soorat
meri soorat hai yaar ki soorat

mujh par hi mujhe yaar ka dhokha ho gya
deed ki deed tamaashe ka tamaasha ho gaya

mil gayi dair o haram ke pher se usko nijaat
yaar ke nakshe kadam se jisko nisbat ho gayi

jaan e dil qurban tujh par aye jamaal e rooh e yaar
jab tujhe dekha to quran ki talaawat ho gayi

pad jaati hai jab ek nazar aapke rukh par
padh leti hain aankhen meri quran hazaron

aye fana teri lehad hai koocha e dildaar mein
tujhse deewane pe ye kitni inaayat ho gayi

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *