Ya Rabbe Muhammad Meri Taqdeer Jagade Naat Lyrics || या रब्बे मुहम्मद मेरी तक़दीर जगा दे

Ya Rabbe Muhammad Meri taqdeer jagade ek behad hi asar-angez aur maqbool duaia kalam hai jise Ameer-e-Ahl-e-Sunnat Hazrat Maulana Ilyas Attar Qadri ne nihayat hi aajizi se likha hai. Is mubaarak kalam mein parvardigar se dunya ki muhabbat se nijaat, ishq-e-mustafa mein doobne aur maut-e-madina ki iltija pesh ki gayi hai. Aaiye is pakiza aur dilon ko rula dene wali munajat ko nihayat hi aqeedat ke sath poori tawajju se padhte hain.

Naat Information Details
Naat Title Ya Rabbe Muhammad Meri Taqdeer Jagade
Poet / Writer Hazrat Maulana Muhammad Ilyas Attar Qadri
Category Duaia Munajat / Naat Shareef
Naatkhawan / Reciter Haji Abdul Habib Attari, Bilal Attari, & Others

Naat Lyrics in Roman

Ya Rabbe Muhammad Meri taqdeer jagade
Sehra-e-Madina Mujhe aankhon se dikha de

Pichha Mera duniya ki muhabbat se chhuda de
Ya Rabb Mujhe deewana Madine ka bana de

Rota hua jis waqt mein darbar mein pahunchun
Us waqt Mujhe jalwa-e-Mehboob dikha de

Dil Ishq-e-Muhammad mein tadapta rahe har dam
Sine ko Madina Mere Allah bana de

Behti rahe aksar shahe abrar ke gham mein
Roti hui wo aankh Mujhe Mere Khuda de

Imaan pe de maut Madine ki gali mein
Mudafan Mera Mehboob ke qadmon mein bana de

Allah karam itna gunahghar pe farma
Jannat mein padhosi Mere Aaqa ka bana de

Deta hun Tujhe waseta mein Pyare Nabi ka
Ummat ko Khudaya Rahe Sunnat pe chala de

Allah mile hajj ki isi saal sa’adat
Badkar ko phir Roza-e-Mehboob dikha de

Attar se Mehboob ki Sunnat ki le khidmat
Danka ye Tere Deen ka duniya mein baja de

Naat Lyrics in Hindi

या रब्बे मुहम्मद मेरी तक़दीर जगा दे
सहरा-ए-मदीना मुझे आँखों से दिखा दे

पीछा मेरा दुनिया की मुहब्बत से छुड़ा दे
या रब्ब मुझे दीवाना मदीने का बना दे

रोता हुआ जिस वक़्त मैं दरबार में पहुँचूँ
उस वक़्त मुझे जल्वा-ए-महबूब दिखा दे

दिल इश्क़-ए-मुहम्मद में तड़पता रहे हर दम
सीने को मदीना मेरे अल्लाह बना दे

बहती रहे अक्सर शह-ए-अबरार के ग़म में
रोती हुई वो आँख मुझे मेरे ख़ुदा दे

ईमान पे दे मौत मदीने की गली में
मदफ़न मेरा महबूब के क़दमों में बना दे

अल्लाह करम इतना गुनहगार पे फ़र्मा
जन्नत में पड़ोसी मेरे आक़ा का बना दे

देता हूँ तुझे वास्ता मैं प्यारे नबी का
उम्मत को ख़ुदाया राह-ए-सुन्नत पे चला दे

अल्लाह मिले हज्ज की इसी साल सआदत
बदकार को फिर रोज़ा-ए-महबूब दिखा दे

अत्तार से महबूब की सुन्नत की ले ख़िदमत
डंका ये तेरे दीन का दुनिया में बजा दे

Naat Lyrics in Urdu

یا ربِّ محمد میری تقدیر جگا دے
صحراے مدینہ مجھے آنکھوں سے دکھا دے

پیچھا میرا دنیا کی محبت سے چھڑا دے
یا رب مجھے دیوانہ مدینے کا بنا دے

روتا ہوا جس وقت میں دربار میں پہنچوں
اس وقت مجھے جلوۂ محبوب دکھا دے

دل عشقِ محمد میں تڑپتا رہے ہر دم
سینے کو مدینہ میرے اللہ بنا دے

بہتی رہے اکثر شہِ ابرار کے غم میں
روتی ہوئی وہ آنکھ مجھے میرے خدا دے

ایمان پہ دے موت مدینے کی گلی میں
مدفن میرا محبوب کے قدموں میں بنا دے

اللہ کرم اتنا گنہگار پہ فرما
جنت میں پڑوسی میرے آقا کا بنا دے

دیتا ہوں تجھے واسطہ میں پیارے نبی کا
امت کو خدایا راہِ سنت پہ چلا دے

اللہ ملے حج کی اسی سال سعادت
بدکار کو پھر روضۂ محبوب دکھا دے

عطار سے محبوب کی سنت کی لے خدمت
ڈنکا یہ تیرے دین کا دنیا میں بجا دے

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top