Ye Nazar Mere Peer Ki Lyrics

Ye Nazar Mere Peer Ki Lyrics

Toofañ ki har ik mauj ko saahil bana diya
Rahgeer ko bhi waaqif e manzil bana diya,

Kya kaam kar gayi hai mere peer ki nazar
Arsh-e Bareeñ se badh ke mera dil bana diya.

Allahu ki sharaab ka mujhko maza diya
Kaise kahuñ main peer ne kya kya bana diya,

Kiski samajh mein aayegi soorat faqeer ki
ye nazar mere peer ki, ye nazar mere peer ki..

Ye Nazar Mere Peer Ki
Ye Nazar Mere Peer Ki

Wallah Mera peer hai har simt jalwagar
Murshid ke dar ko chhod ke jaauñga maiñ kidhar,

Maine hazaaroñ peeroñ ki nazroñ ko dekha hai
Sabse alag nazar hai magar mere peer ki.

Ye Nazar Mere Peer Ki
Ye Nazar Mere Peer Ki

Deewane hañs pade hain hijaaboñ ko chhod kar
Parda nasheeñ haiñ aaye naqaaboñ ko chhod kar,

Aisi jalaali daali mere peer ne nazar
Aalim bhi wajd meiñ hain kitaaboñ ko chhod kar.

Ye Nazar Mere Peer Ki
Ye Nazar Mere Peer Ki

Duniya ko apne qadmoñ pe nisbat jhukaaye gi
Peeri mureedi dil ki kasaafat mitaaye gi,

Apni jabiñ ko peer ki aaghosh mein jhuka
Roohaniyat ki noorani duniya dikhayegi.

Yeh Nazar Mere Peer Ki
Yeh Nazar Mere Peer Ki

Aisa zamana aaya hai dil manta nahin
Aksar mureed Peer ko pehchanta nahi,

Is daur ke mureed ko daulat ki aas hai
Kya peer ki nazar hai koi janta nahi.

Yeh Nazar Mere Peer Ki
Yeh Nazar Mere Peer Ki

Murshid ke dast e paak mein qudrat dikhayi de
Murshid ke rukh pe roohani taaqat dikhayi de,

Kaamil muraaqba hai tasavvur hai dosto
Apni nazar mein peer ki soorat dikhayi de.

Yeh Nazar Mere Peer Ki
Yeh Nazar Mere Peer Ki

Maañga tha maine phool to gulshan ata kiya
Banda nawazi peer ki, Daaman ataa kiya,

Mere naseeb meiñ hi nahiñ jiski deed thi
Nazr e karam ne deed ka darpan ata kiya.

Yeh Nazar Mere Peer Ki
Yeh Nazar Mere Peer Ki

Haye zamane waloñ ne thukra diya mujhe
Ahsaan mere peer ka, kya kya diya mujhe,

Ye jalwagaah e toor se ooñcha maqam hai
Nazaroñ ne peer ki kahañ pahuñcha diya mujhe.

Yeh Nazar Mere Peer Ki
Yeh Nazar Mere Peer Ki

Ye maikada hai hashmi, kaif o suroor hai
Rahgeer hai sulook ka manzil se door hai,

Kambakht duniya wale kya pahchaaneñ ge bhala
Nazroñ mein mere peer ki nazroñ ka noor hai.

Yeh Nazar Mere Peer Ki
Yeh Nazar Mere Peer Ki

Masti meiñ aa ke ahl-e haram jhoomne lage
Rah kar zameeñ pe, arsh pe hum ghoomne lage,

Meri nazar mein peer ki tasveer dekh kar
Shaahaan e waqt aake qadam choomne lage.

Yeh Nazar Mere Peer Ki
Yeh Nazar Mere Peer Ki

Nazr e karam se peer ki anhad ki had mili
Ik mustanad faqeer ki mujh ko sanad mili,

Masti mein aake maine pukaara tha peer ko
Aañkheñ jhapak na paayi theeñ mujhko madad mili.

Yeh Nazar Mere Peer Ki
Yeh Nazar Mere Peer Ki

Mujhse karam ki aas lagaane lage hain log
Chehre pe mere peer ko paane lage hain log,

Pahuñchaya mere peer ne ye kis maqaam par
Naa’lain mere sar pe uthaane lage hain log.

Yeh Nazar Mere Peer Ki
Yeh Nazar Mere Peer Ki

Qudrat ka is jahañ mein tamaasha ajeeb hai
Peeroñ ka soofiyoñ ka tareeqa ajeeb hai,

Taareekh kah rahi hai jahañ ko pukar kar
Bach kar raho Faqeeroñ ki duniya ajeeb hai.

Yeh Nazar Mere Peer Ki
Yeh Nazar Mere Peer Ki

Mere khayal gum hue nisbat ke raaz meiñ
Roohani hai suroor dil e paakbaaz mein,

Meri namaz e ishq ki takmeel ho gayi
Aayeñ mujhe nazar mere murshid namaaz mein.

Yeh Nazar Mere Peer Ki
Yeh Nazar Mere Peer Ki

Baithe bithaaye maine to jannat khareed li
Sab kuchh luta ke, peer ki ulfat khareed li,

Ye kah ke haath mujh pe rakha peer ne mere
Ja tu ne dast e peer se qudrat kharid li.

Yeh Nazar Mere Peer Ki
Yeh Nazar Mere Peer Ki

Murshid ke jaañ-nisaaroñ me shamil hai sarfaraz
Dar yaar ka faqeer ki manzil hai sarfaraz

Kahta hai qutb e waqt, qalandar bhi, ghaus bhi
Nazareñ milana peer se mushkil hai sarfaraz.

Yeh Nazar Mere Peer Ki
Yeh Nazar Mere Peer Ki

Allahu ki sharab ka mujh ko maza diya
Kaise kahooñ main peer ne kya kya bana diya,

Kis ki samajh mein aayegi soorat faqeer ki
Ye nazar mere peer ki, Ye nazar mere peer ki.

 

MUSTAFA KE PYARE LADLE KHWAJA HAME DAR PE BULA LE NAAT LYRICS

MAIN HOON KHWAJA KA DIWANA NAAT LYRICS IN HINDI

Manqabat Khwaja Garib Nawaz

CHOOTE NA KABHI TERA DAMAN YA KHWAJA MOINUDDIN HASAN NAAT LYRICS

Tere tukdon pe palte hain khwaja piya lyrics

DAYAAR E HIND ME RAB KI ATA GHARIB NAWAZ NAAT LYRICS

 

Leave a Reply