Ghaus-e-Azam Hazrat Abdul Qadir Jilani Al-Baghdadi ki shaan me parhi gayi yeh nihayat hi khoobsurat aur dilon ko garmane wali Manqabat ‘Dard Mando Ne Pukara Ghaus-e-Azam Dastageer’ aashiqan-e-auliya ke dilon ko roohani sukoon bakhshti hai.
Is paak kalam me silsila-e-qadria ke mureedeen aur aashiqeen ne apne murshid ki baargah me sachi aqeedat aur madad ki iltija pesh ki hai.
Aayye is dilon ko munawwar karne wali roohani manqabat ke jariye apne qalb ko sukoon aur rooh ko taazgi bakhshen.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Dard Mando Ne Pukara Ghaus-e-Azam Dastageer |
| Poet / Writer | Traditional Manqabat |
| Category | Manqabat Ghaus-e-Azam |
| Naatkhawan / Reciter | Allama Hafiz Bilal Qadri |
Naat Lyrics in Roman
dard mando ne pukara ghaus-e-azam dastageer
deejiye humko sahara ghaus-e-azam dastageer
thaam lena girto ko ye aap hi ka kaam hai
girto ne jab bhi pukara ghaus-e-azam dastageer
aap ho ibne sakhi mil jaye kuch dar se yahi
isliye daaman pasara ghaus-e-azam dastageer
hain bhikhari aap ke hum jayenge ab kis ke dar
aap hi ka hai sahara ghaus-e-azam dastageer
door reh kar aap se tadpe bohot hain hijr mein
ab nahi humko gawara ghaus-e-azam dastageer
khaaksaron mein tere chishti ka ho jaye shumar
aap ka ho ek ishaara ghaus-e-azam dastageer
Naat Lyrics in Hindi
दर्द मंदों ने पुकारा ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर
दीजिये हमको सहारा ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर
थाम लेना गिरतों को ये आप ही का काम है
गिरतों ने जब भी पुकारा ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर
आप हो इब्ने सख़ी मिल जाए कुछ दर से यही
इसलिए दामन पसारा ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर
हैं भिखारी आप के हम जाएंगे अब किस के दर
आप ही का है सहारा ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर
दूर रह कर आप से तड़पे बहुत हैं हिज्र में
अब नहीं हमको गवारा ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर
ख़ाकसारों में तेरे चिश्ती का हो जाए शुमार
आप का हो इक इशारा ग़ौस-ए-आज़म दस्तगीर
Naat Lyrics in Urdu
دردمندوں نے پکارا غوثِ اعظم دستگیر
دیجئے ہم کو سہارا غوثِ اعظم دستگیر
تھام لینا گِرتوں کو یہ آپ ہی کا کام ہے
گِرتوں نے جب بھی پکارا غوثِ اعظم دستگیر
آپ ہو ابنِ سخی مِل جائے کچھ در سے یہی
اس لئے دامن پسارا غوثِ اعظم دستگیر
ہیں بھکاری آپ کے ہم جائیں گے اب کس کے در
آپ ہی کا ہے سہارا غوثِ اعظم دستگیر
دور رہ کر آپ سے تڑپے بہت ہیں ہجر میں
اب نہیں ہم کو گوارا غوثِ اعظم دستگیر
خاکساروں میں تیرے چشتی کا ہو جائے شمار
آپ کا ہو اک اشارہ غوثِ اعظم دستگیر