Gause Azam Ki Azmat Pe Lakhon Salam Lyrics || ग़ौस ए आज़म की अज़मत पे लाखों सलाम

Ghous e Azam Ki Azmat Pe Lakhon Salam ek nihayat hi maqbool aur dil-kash manqabat-e-pak hai jo sheikh abdul qadir jilani ghaus-e-azam razi allahu anhu ki bargah me pesh ki jati hai.
Is kalam me ghaus-e-pak ki bemisal shan, unki sakhawat, dakuon ko taseer-e-nazar se wali banane ke kamil waqiat aur unki wilayat ka bada hi haseen bayan kiya gaya hai.
Sana-khawan Haji Tasleem Aarif sahab ki awaz me gaya gaya ye salam har mureed aur aashiq ke dil me aqeedat o muhabbat ki ek khas taseer paida karta hai.

Naat Information Details
Naat Title Ghous e Azam Ki Azmat Pe Lakhon Salam
Poet / Writer Traditional
Category Manqabat Ghaus-e-Azam
Naatkhawan / Reciter Haji Tasleem Aarif

Naat Lyrics in Roman

Ghous e Azam Ki Azmat Pe Lakhon Salam
Aapki Shan o Shoukat Pe Lakhon Salam

Deed Aisi Ke Dil Aaina Ban Gaya
Unki Noorani Surat Pe Lakhon Salam

Chor Ko Di Muafi Wali Kar Diya
Is Anokhi Sakhabat Pe Lakhon Salam

Jisse Pyare Nabi Tak Rasaayi Hui
Us Wali Saaz Nisbat Pe Lakhon Salam

Dekh kar Jisko Daaku Bhi Taa’ib Huye
Ghous Ki Us Sadaqat Pe Lakhon Salam

Jis Wilayat Ne Lakhon Wali Kar Diye
Ghous Ki Us Wilayat Pe Lakhon Salam

Aapki Shaan o Shoukat Pe Lakhon Salam
Ghous e Aazam Ki Azmat Pe Lakhon Salam

Naat Lyrics in Hindi

ग़ौस ए आज़म की अज़मत पे लाखों सलाम
आपकी शान ओ शौकत पे लाखों सलाम

दीद ऐसी के दिल आईने बन गए
उनकी नूरानी सूरत पे लाखों सलाम

चोर को दी मुआफ़ी वली कर दिया
इस अनोखी सख़ावत पे लाखों सलाम

जिससे प्यारे नबी तक रसाई हुई
उस वली साज़ निसबत पे लाखों सलाम

देख कर जिसको डाकू भी ताइब हुये
ग़ौस की उस सदाक़त पे लाखों सलाम

जिस विलायत ने लाखों वली कर दिये
ग़ौस की उस विलायत पे लाखों सलाम

आपकी शान ओ शौकत पे लाखों सलाम
ग़ौस ए आज़म की अज़मत पे लाखों सलाम

Naat Lyrics in Urdu

غوثِ اعظم کی عظمت پہ لاکھوں سلام
آپ کی شان و شوکت پہ لاکھوں سلام

دید ایسی کہ دل آئینے بن گئے
ان کی نورانی صورت پہ لاکھوں سلام

چور کو دی معافی ولی کر دیا
اس انوکھی سخاوت پہ لاکھوں سلام

جس سے پیارے نبیؐ تک رسائی ہوئی
اس ولی ساز نسبت پہ لاکھوں سلام

دیکھ کر جس کو ڈاکو بھی تائب ہوئے
غوث کی اس صداقت پہ لاکھوں سلام

جس ولایت نے لاکھوں ولی کر دیے
غوث کی اس ولایت پہ لاکھوں سلام

آپ کی شان و شوکت پہ لاکھوں سلام
غوثِ اعظم کی عظمت پہ لاکھوں سلام

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top