“Tere Hote Janam Liya Hota” ek dil ko chhoo lene wali mashhoor naat hai jo Sarkar-e-Madina ﷺ ki muhabbat aur unke qurb ki tamanna ko bahut hi jazbaati andaaz me bayaan karti hai. Is naat ke alfaaz ek aashiq-e-Rasool ﷺ ke dil ki gehri kaifiyat ko zahir karte hain. Har misra Aaqa ﷺ se muhabbat, unki galiyon ki tamanna aur unki dehleez se nisbat hasil karne ki aarzu ko bayan karta hai.
Naat Information
| Information | Details |
|---|---|
| Naat Name | Tere Hote Janam Liya Hota |
| Poet | Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri |
| Writer | Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri |
| Naat-Khwaan | Milad Raza Qadri, Muhammad Afzal Noshahi, Azmat Raza Bhagalpuri, Saqlain Rasheed |
| Category | Naat Sharif |
| Language | Urdu |
| Theme | Ishq-e-Rasool ﷺ, Muhabbat-e-Madina |
Tere Hote Janam Liya Hota Lyrics in Roman Urdu
tere hote janam liya hota
phir kabhi to tujhe mila hota
kaash ! mai.n sang-e-dar tera hota
tere qadmo.n ko choomta hota
tu chala karta meri palko.n par
kaash ! mai.n tera raasta hota
zarra hota jo teri raaho.n ka
tere talwo.n ko chhoo liya hota
la.Dta phirta mai.n tere aa’da se
teri KHaatir mai.n mar gaya hota
tere maskan ke gird shaam-o-sahar
ban ke mangta mai.n phir raha hota
tu kabhi to mujhe bhi tak leta
tere takne pe bik gaya hota
tu kabhi to meri KHabar leta
tere kooche me.n ghar kiya hota
tu jo aata mere janaaze par
tere hote mai.n mar gaya hota
chaand hota mai.n aasmaano.n par
teri ungli se kaT gaya hota
hota Taahir tere faqeero.n me.n
teri dehleez par pa.Da hota
Tere Hote Janam Liya Hota Lyrics in Hindi
तेरे होते जनम लिया होता
फिर कभी तो तुझे मिला होता
काश ! मैं संग-ए-दर तेरा होता
तेरे क़दमों को चूमता होता
तू चला करता मेरी पलकों पर
काश ! मैं तेरा रास्ता होता
ज़र्रा होता जो तेरी राहों का
तेरे तलवों को छू लिया होता
लड़ता फिरता मैं तेरे आ’दा से
तेरी ख़ातिर मैं मर गया होता
तेरे मस्कन के गिर्द शाम-ओ-सहर
बन के मंगता मैं फिर रहा होता
तू कभी तो मुझे भी तक लेता
तेरे तकने पे बिक गया होता
तू कभी तो मेरी ख़बर लेता
तेरे कूचे में घर किया होता
तू जो आता मेरे जनाज़े पर
तेरे होते मैं मर गया होता
चाँद होता मैं आसमानों पर
तेरी उंगली से कट गया होता
होता ताहिर तेरे फ़क़ीरों में
तेरी दहलीज़ पर पड़ा होता
Tere Hote Janam Liya Hota Lyrics in Urdu
تیرے ہوتے جنم لیا ہوتا
پھر کبھی تو تجھے ملا ہوتا
کاش! میں سنگِ در تیرا ہوتا
تیرے قدموں کو چومتا ہوتا
تو چلا کرتا میری پلکوں پر
کاش! میں تیرا راستہ ہوتا
ذرہ ہوتا جو تیری راہوں کا
تیرے تلووں کو چھو لیا ہوتا
لڑتا پھرتا میں تیرے اعدا سے
تیری خاطر میں مر گیا ہوتا
تیرے مسکن کے گرد شام و سحر
بن کے منگتا میں پھر رہا ہوتا
تو کبھی تو مجھے بھی تک لیتا
تیرے تکنے پہ بک گیا ہوتا
تو کبھی تو میری خبر لیتا
تیرے کوچے میں گھر کیا ہوتا
تو جو آتا میرے جنازے پر
تیرے ہوتے میں مر گیا ہوتا
چاند ہوتا میں آسمانوں پر
تیری انگلی سے کٹ گیا ہوتا
ہوتا طاہر تیرے فقیروں میں
تیری دہلیز پر پڑا ہوتا
Shayar: Dr. Muhammad Tahir-ul-Qadri
Naat-Khwaan:
Milad Raza Qadri
Muhammad Afzal Noshahi
Azmat Raza Bhagalpuri
Saqlain Rasheed