Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Complete Naat Lyrics

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Complete Naat Lyrics

 

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad
Laut Kar Mai Na Jaaunga Khaali

Tumhaare Aastaane Se Zamaana Kya Nahin Paata
Koi Bhi Dar Se Khaali Maangne Waala Nahin Jaata

Bhar Do Jholi Meri Sarkaare Madina
Bhar Do Jholi Meri Taajdaare Madina

Laut Kar Mai Na Jaaunga Khaali
Tum Zamaane Ke Mukhtaar Ho Ya Nabi

Bekason Ke Madadgaar Ho Ya Nabi
Sab Ki Sunte Ho Apne Ho Ya Ghair Ho

Tum Garibon Ke Gham Khwaar Ho Ya Nabi
Bhar Do Jholi Meri Sarkaare Madina

Bhar Do Jholi Meri Taajdaare Madina
Laut kar mai na jaaunga khaali

Hum hain ranjo musibat ke maare huwe
Sakht Mushkil Mein Hain Gham Se Haare Huwe

Ya Nabi Kuch Khudara Hume Bheek Do
Dar Pe Aaye Hain Jholi Pasaare Huwe

Bhar Do Jholi Meri Sarkaare Madina
Bhar Do Jholi Meri Taajdaare Madina

Laut Kar Mai Na Jaaunga Khaali
Hai Mukhaalif Zamaana Kidhar Jaayen Hum

Haalate Bekasi Kis Ko Dikhlaaye Hum
Hum Tumhaare Bhikaari Hain Ya Mustafa

Kis Ke Aage Bhalaa Haath Phailaaye Hum
Bhar Do Jholi Meri Sarkaare Madina

Bhar Do Jholi Meri Taajdaare Madina
Laut Kar Mai Na Jaaunga Khaali

Haq Se Paayi Wo Shaane Kareemi
Marhaba Dono Aalam Ke Waali

Uski Qismat Ka Chamka Sitaara
Jis Pe Nazre Karam Tum Ne Daali

Zindagi Bakhsh Ki Bandagi Ko
Aabroo Deene Haq Ki Bachaali

Wo Muhammad Ka Pyara Nawaasa
Jisne Sajde Mein Gardan Kataali

Jo Ibne Murtaza Ne Kiya Kaam Khoob Hai
Qurbaanie Hussain Ka Anjaam Khoob Hai

Qurbaan Ho Ke Fatima Zahra Ke Chain Ne
Deene Khuda Ki Shaan Badhaayi Hussain Ne

Bakhshi Hai Jisne Mazhabe Islam Ko Hayaat
Jitni Azeem Hazrate Shabbir Ki Hai Zaat

Maidane Karbala Mein Shahe Khush Khisaal Ne
Sajde Mein Sar Kataa Ke Mohammad Ke Laal Ne

Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko
Aabroo Deene Haq Ki Bachaali

Wo Muhammad Ka Pyara Nawaasa
Jisne Sajde Mein Gardan Kataali

Hashr Mein Unko Dekhenge Jis Dam
Ummati Ye Kahenge Khushi Se

Aa Rahe Hain Wo Dekho Mohammad
Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali

Bhar Do Jholi Meri Sarkaare Madina
Bhar Do Jholi Meri Taajdaare Madina

Laut Kar Mai Na Jaaunga Khaali
Mehshar Ke Roz Peshe Khuda Honge Jis Ghadi

Hogi Gunahgaaron Mein Kis Darjaa Bekali
Aate Huwe Nabi Ko Jo Dekhenge Ummati

Ek Doosre Se Sab Ye Kahenge Khushi Khushi
Aa Rahe Hain Wo Dekho Mohammad

Jinke Kaandhe Pe Kamli Hai Kaali
Sare Mehshar Gunahgaaron Se Purzish Jis Ghadi Hogi

Yaqeenan Har Bashar Ko Apni Bakhshish Ki Padi Hogi
Sabhi Ko Aas Us Din Kamli Waale Se Lagi Hogi

Ke Aise Mein Mohammad Ki Sawaari Aa Rahi Hogi
Pukarega Zamaana Us Ghadi Dukh Dard Ke Maaron

Na Ghabraao Gunahgaaron Na Ghabraao Gunahgaaron
Aa Rahe Hain Wo Dekho Mohammad

Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali
Hashr Mein Unko Dekhenge Jis Dam

Ummati Ye Kahenge Khushi Se
Aa Rahe Hain Wo Dekho Mohammad

Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali
Bhar Do Jholi Meri Sarkaare Madina

Bhar Do Jholi Meri Taajdaare Madina
Laut Kar Mai Na Jaaunga Khaali

Aashiqe Mustafa Ki Azaan Mein
Allah Allah Kitna Asar Tha

Sachaa Ye Waaqiya Hai Azaane Bilal Ka
Ek Din Rasoole Paak Se Logon Ne Yoon Kaha

Ya Mustafa Azaan Galat Dete Hain Bilaal
Kahiye Huzoor Aapka Is Mein Hai Kya Khayaal

Farmaaya Mustafa Ne Ye Sach Hai To Dekhiye
Waqte Sahar Ki Aaj Azaan Aur Koi De

Hazrat Bilaal Ne Jo Azaane Sahar Na Di
Qudrat Khuda Ki Dekho Na Mutlaq Sahar Huwi

Aaye Nabi Ke Paas Kuchh Ashaabe Baasafa
Ki Arz Mustafa Se Ke Aye Shaheambiya

Hai Kya Sabab Sahar Na Hui Aaj Mustafa
Jibreel Laaye Aise Mein Paighaame Kibriya

Pehle To Mustafa Ko Adab Se Kiya Salaam
Baad As Salaam Unko Khuda Ka Diya Payaam

Yoon Jibraeel Ne Kahaa Khairul Anaam Se
Allah Ko Hai Pyaar Tumhaare Ghulaam Se

Farmaa Raha Hai Aap Se Ye Rabbe Zuljalaal
Hogi Na Subha Denge Na Jab Tak Azaan Bilaal

Aashiqe mustafa Ki Azaan Mein
Allah Allah Kitna Asar Tha
Arsh Waale Bhi Sunte The Jisko
Kya Azaan Thi Azaane bilaali
Kaash Purnam Dayaare Nabi Mein
Jeete Ji Ho Bulaawa Kisi Din
Haale Gham Mustafa Ko Sunaaoon
Thaam Kar Unke Rauze Ki Jaali
Bhar Do Jholi Meri Sarkaare Madina
Bhar Do Jholi Meri Taajdaare Madina

Laut Kar Mai Na Jaaunga Khaali

Leave a Reply

%d bloggers like this: