Auliya ke sardar Hazrat Ghaus-e-Azam Abdul Qadir Jilani Radiallahu Anhu ki bargah mein pesh kiya gaya yeh ek nihayat hi maqbool manqabat hai.
Shayar Abid sahab ke is mutabarrak kalam mein silsila-e-qadriya ke mureedeen ki aazzon, tammannaon aur murshid-e-karam ki bargah se milne wali imdad ko pesh kiya gaya hai.
Aaiye is dilsouz aur pyare kalam ke har ek sher ko nihayat hi adab aur aqeedat ke sath padhein aur Ghaus-e-Paak ke faiz se apne qalb ko raushan karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Allah Ki Raza Hai Teri Baat Ghaus-e-Aazam |
| Poet / Writer | Abid |
| Category | Manqabat-e-Ghaus-e-Azam (R.A.) |
| Naatkhawan / Reciter | Various Reciters |
Naat Lyrics in Roman
Allah ki raza hai teri baat Ghaus-e-Aazam
Kardo karam ki mujh par barsaat Ghaus-e-Aazam
Tere naam ka wasila maine jab liya dua mein
Mere rab ne khud banadi meri baat Ghaus-e-Aazam
Kardo karam ki mujh par barsaat Ghaus-e-Aazam
Main murid Qadri hoon jis haal mein rahoon par
Mere haath mein rahe bas tera haath Ghaus-e-Aazam
Kardo karam ki mujh par barsaat Ghaus-e-Aazam
Main murid Qadri hoon mujhe khauf kyun bhala ho
Mujhe de sake na dushman kabhi maat Ghaus-e-Aazam
Kardo karam ki mujh par barsaat Ghaus-e-Aazam
Rudad apne dil ki kisko sunayein ‘Aabid’
Tum par to sab ayaan hai haalaat Ghaus-e-Aazam
Kardo karam ki mujh par barsaat Ghaus-e-Aazam
Naat Lyrics in Hindi
अल्लाह की रज़ा है तेरी बात ग़ौस-ए-आज़म
करदो करम की मुझ पर बरसात ग़ौस-ए-आज़म
तेरे नाम का वसीला मैंने जब लिया दुआ में
मेरे रब ने ख़ुद बनादी मेरी बात ग़ौस-ए-आज़म
करदो करम की मुझ पर बरसात ग़ौस-ए-आज़म
मैं मुरीद क़ादरी हूँ जिस हाल में रहूँ पर
मेरे हाथ में रहे बस तेरा हाथ ग़ौस-ए-आज़म
करदो करम की मुझ पर बरसात ग़ौस-ए-आज़म
मैं मुरीद क़ादरी हूँ मुझे ख़ौफ़ क्यों भला हो
मुझे दे सके न दुश्मन कभी मात ग़ौस-ए-आज़म
करदो करम की मुझ पर बरसात ग़ौस-ए-आज़म
रूदाद अपने दिल की किसको सुनाएँ ‘आबिद’
तुम पर तो सब अयाँ है हालात ग़ौस-ए-आज़म
करदो करम की मुझ पर बरसात ग़ौस-ए-आज़म
Naat Lyrics in Urdu
اللہ کی رضا ہے تیری بات غوثِ اعظم
کر دو کرم کی مجھ پر برسات غوثِ اعظم
تیرے نام کا وسیلہ میں نے جب لیا دعا میں
میرے رب نے خود بنا دی میری بات غوثِ اعظم
کر دو کرم کی مجھ پر برسات غوثِ اعظم
میں مریدِ قادری ہوں جس حال میں رہوں پر
میرے ہاتھ میں رہے بس تیرا ہاتھ غوثِ اعظم
کر دو کرم کی مجھ پر برسات غوثِ اعظم
میں مریدِ قادری ہوں مجھے خوف کیوں بھلا ہو
مجھے دے سکے نہ دشمن کبھی مات غوثِ اعظم
کر دو کرم کی مجھ پر برسات غوثِ اعظم
روداد اپنے دل کی کس کو سنائیں ‘عابد’
تم پر تو سب عیاں ہے حالات غوثِ اعظم
کر دو کرم کی مجھ پر برسات غوثِ اعظم