Yeh Gause Azam Hazrat Abdul Qadir Jilani Ki Shaan Mein Likhi Gayi Ek Nihayat Hi Mashhoor Aur Ruhani Manqabat-E-Pak Hai. Is Barkat Bhare Kalam Ke Zariye Gause Pak Ki Azeem Azmat Aur Unse Aqeedat Ka Bohat Hi Dilkash Izhaar Kiya Gaya Hai. Chaliye Is Mukammal Kalam Ke Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Script Mein Parhte Hain.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Uncha Jahaan Mein Naam Hai Pirane Pir Ka |
| Poet / Writer | Unknown |
| Category | Manqabat e Gause Azam |
| Naatkhawan / Reciter | Owais Raza Qadri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Uncha Jahaan Mein Naam Hai Pirane Pir Ka Lyrics In Roman
Uncha Jahaan Mein Naam Hai Pirane Pir Ka
Bigri Banaana Kaam Hai Piraane Pir Ka
Afzal Hai Jaise Nabiyon Mein Pyaare Mustafa
Waliyon Mein Woh Maqaam Hai Piraane Pir Ka
Uski Ghulaam Ban Gayi Har Shay Jahaan Ki
Jo Bhi Hua Ghulaam Hai Piraane Pir Ka
Munkir Nakir Chal Diye Yeh Keh Ke Qabr Se
Sone Do Yeh Ghulaam Hai Piraane Pir Ka
Mayn Qadiri Hun Shukr Hai Rabbe Qadir Ka
Daaman Hai Mere Haath Mein Piraane Pir Ka
Uncha Jahaan Mein Naam Hai Pirane Pir Ka Lyrics In Hindi
ऊँचा जहाँ में नाम है पीराने पीर का
बिगड़ी बनाना काम है पीराने पीर का
अफ़ज़ल है जैसे नबियों में प्यारे मुस्तफ़ा
वलियों में वो मक़ाम है पीराने पीर का
उसकी ग़ुलाम बन गयी हर शय जहाँ की
जो भी हुआ ग़ुलाम है पीराने पीर का
मुन्किर नकीर चल दिए ये कह के क़ब्र से
सोने दो ये ग़ुलाम है पीराने पीर का
मैं क़ादिरी हूँ शुक्र है रब्बे क़ादिर का
दामन है मेरे हाथ में पीराने पीर का
Uncha Jahaan Mein Naam Hai Pirane Pir Ka Lyrics In Urdu
اونچا جہاں میں نام ہے پیرانِ پیر کا
بگڑی بنانا کام ہے پیرانِ پیر کا
افضل ہے جیسے نبیوں میں پیارے مصطفیٰ
ولیوں میں وہ مقام ہے پیرانِ پیر کا
اس کی غلام بن گئی ہر شئے جہاں کی
جو بھی ہوا غلام ہے پیرانِ پیر کا
منکر نکیر چل دیے یہ کہہ کے قبر سے
سونے دو یہ غلام ہے پیرانِ پیر کا
میں قادری ہوں شکر ہے ربِ قادر کا
دامن ہے میرے ہاتھ میں پیرانِ پیر کا