Saaim Chishti Sahib Ka Likhah Gaya Yeh Behad Rooh Parwar Kalam Shohada E Karbala Ki Azmat O Shaan Mein Likhah Gaya Ek Aala Salam Sharif Hai. Is Kalam Mein Imam Hussain Aur Unke Jaan-Nisaaron Ki Azeem Qurbaniyon Ko Nihayat Aqeedat Se Bayan Kiya Gaya Hai. Teeno Zabanon Mein Yeh Kalam Niche Mulahiza Farmaen.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Karbla Mein Lutne Wale Tajdaaron Ko Salam |
| Poet / Writer | Saaim Chishti |
| Category | Manqabat E Shohada E Karbala |
| Naatkhawan / Reciter | Owais Raza Qadri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Karbla Mein Lutne Wale Tajdaaron Ko Salam Lyrics In Roman
Karbla Mein Lutne Wale Tajdaaron Ko Salam
Gulshan E Islam Ki Taaza Bahaaron Ko Salam
Unki Shamsheeren Theen Ya Raqsaan Theen Lakhon Bijliyan
Shah Sawar E Karbala Ke Shah Sawaron Ko Salam
Ho Gaye Bazu Qalam Ooncha Magar Rakha Alam
Hazrat E Abbas Jaise Jaan Nisaron Ko Salam
Jinki Laashon Ne Darakhshaan Kar Di Ashoore Ki Raat
Un Mohammad Mustafa Ke Chaand Taaron Ko Salam
Ho Gaye Sairab Jo Pyason Ke Taaza Khoon Se
Karbala Ke Un Piyase Reig Zaaron Ko Salam
Umr Bhar Bahta Raha Jinse Musalsal Khoon E Dil
Chashm E Zain Ul Aabideen Ki Aabshaahron Ko Salam
Ban Ke Qaidi Shaam Ko Jo Shaam Ko Saaim Chale
Un Aseeron Besaharon Gham Ke Maaron Ko Salam
Karbla Mein Lutne Wale Tajdaaron Ko Salam
Gulshan E Islam Ki Taaza Bahaaron Ko Salam
Karbla Mein Lutne Wale Tajdaaron Ko Salam Lyrics In Hindi
कर्बला में लुटने वाले ताजदारों को सलाम
गुलशन ए इस्लाम की ताज़ा बहारों को सलाम
उनकी शमशीरें थी या रक़्सां थीं लाखों बिजलियां
शहसवार ए कर्बला के सहसवारों को सलाम
हो गए बाजू क़लम ऊंचा मगर रखा अ़लम
हज़रत ए अ़ब्बास जैसे जां निसारों को सलाम
जिनकी लाशों ने दरख़्शां कर दी आशूरे की रात
उन मोहम्मद मुस्तफा के चांद तारों को सलाम
हो गए सैराब जो प्यासों के ताज़ा ख़ून से
कर्बला के उन प्यासे रेगज़ारों को सलाम
उम्र भर बहता रहा जिनसे मुसलसल खूने दिल
चश्म ए जैनुल आबेदीं की आबशारों को सलाम
बन के क़ैदी शाम को जो शाम को साइम चले
उन असीरों, बेसहारों, ग़म के मारों को सलाम
कर्बला में लुटने वाले ताजदारों को सलाम
गुलशन ए इस्लाम की ताज़ा बहारों को सलाम
Karbla Mein Lutne Wale Tajdaaron Ko Salam Lyrics In Urdu
کربلا میں لُٹنے والے تاجداروں کو سلام
گلشنِ اسلام کی تازہ بہاروں کو سلام
ان کی شمشیریں تھیں یا رقصاں تھیں لاکھوں بجلیاں
شہسوارِ کربلا کے شہسواروں کو سلام
ہو گئے بازو قلم اونچا مگر رکھا علم
حضرتِ عباس جیسے جاں نثاروں کو سلام
جن کی لاشوں نے درخشاں کر دی عاشورے کی رات
ان محمد مصطفیٰ کے چاند تاروں کو سلام
ہو گئے سیراب جو پیاسوں کے تازہ خون سے
کربلا کے ان پیاسے ریگ زاروں کو سلام
عمر بھر بہتا رہا جن سے مسلسل خونِ دل
چشمِ زین العابدیں کی آبشاروں کو سلام
بن کے قیدی شام کو جو شام کو صائم چلے
ان اسیروں بے سہاروں غم کے ماروں کو سلام
کربلا میں لُٹنے والے تاجداروں کو سلام
گلشنِ اسلام کی تازہ بہاروں کو سلام