Nit Nayi Ek Uljhan Hai Uff Gham e Rozgar Ka Aalam

Yeh Ek Nihayat Hi Pyaara Aur Rooh Parwar Kalaam Hai Jis Mein Dil Ki Tadap Aur Haalat E Zaar Ka Bayaan Nihayat Khubsoorat Andaaz Mein Paesh Kiya Gaya Hai. Is Kalaam Ke Har Sher Mein Huzoor Tajush Shariah Ke Fikr O Jazbaat Ki Jhalak Saaf Nazar Aati Hai. Aaye Is Mubarak Kalaam Ko Roman, Hindi Aur Urdu Mein Mulahiza Farmaayein.

Naat InformationDetails
Naat TitleNit Nayi Ek Uljhan Hai Uff Gham e Rozgar Ka Aalam
Poet / WriterTajush Shariah Mufti Akhtar Raza Khan
CategoryKalam
Naatkhawan / ReciterOwais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Nit Nayi Ek Uljhan Hai Uff Gham e Rozgar Ka Aalam Lyrics In Roman

Nit Nayi Ek Uljhan Hai
Uff Gham E Rozgaar Ka Aalam

Kayf O Masti Me Gharq Ye Dunya
Jaane Kya Dil Figaar Ka Aalam

Ay Khuda! Tujh Pe Khoob Zaahir Hai
Hai Jo Mujh Sogwaar Ka Aalam

Jaan E Gulshan Ne Ham Se Munh Maw’ra
Ab Kahaañ Woh Bahaar Ka Aalam

Ab Kahaañ Woh Chalakte Paimaane
Ab Kahaañ Woh Khumaar Ka Aalam

Haa-E Kya Ho Gaya Gharee Bhar Me
Woh Shakeeb E Qaraar Ka Aalam

Daar E Faani Se Kya Gharaz Us Ko
Jis Ka Aalam Qaraar Ka Aalam

Ab Woh Rangeeniyaañ Nahiñ Ya Rab
Kya Huwa Bazm E Yaar Ka Aalam

Yaad Aata Hai Waqt E Gham Akhtar
Rukhsat E Gham Gusaar Ka Aalam

Nit Nayi Ek Uljhan Hai Uff Gham e Rozgar Ka Aalam Lyrics In Hindi

नित नई एक उलझन है
उफ़ ग़म-ए-रोज़गार का आलम

कैफ़-ओ-मस्ती में ग़र्क़ ये दुनिया
जाने क्या दिल-फ़िगार का आलम

ऐ ख़ुदा! तुझ पे ख़ूब ज़ाहिर है
है जो मुझ सोगवार का आलम

जान-ए-गुल्शन ने हम से मुंह मोड़ा
अब कहां वो बहार का आलम

अब कहां वो छलकते पैमाने
अब कहां वो ख़ूमार का आलम

हाए क्या हो गया घड़ी भर में
वो शकीब-ओ-क़रार का आलम

दार-ए-फ़ानी से क्या ग़रज़ उस को
जिस का आलम क़रार का आलम

अब वो रंगीनियां नहीं या रब
क्या हुआ बज़्म-ए-यार का आलम

याद आता है वक़्त-ए-ग़म अख़्तर
रुख़्सत-ए-ग़मगुसार का आलम

Nit Nayi Ek Uljhan Hai Uff Gham e Rozgar Ka Aalam Lyrics In Urdu

نِت نئی ایک الجھن ہے
اف غمِ روزگار کا عالم

کیف و مستی میں غرق یہ دنیا
جانے کیا دلِ فگار کا عالم

اے خدا! تجھ پہ خوب ظاہر ہے
ہے جو مجھ سوگوار کا عالم

جانِ گلشن نے ہم سے منہ موڑا
اب کہاں وہ بہار کا عالم

اب کہاں وہ چھلکتے پیمانے
اب کہاں وہ خمار کا عالم

ہائے کیا ہو گیا گھڑی بھر میں
وہ شکیب و قرار کا عالم

دارِ فانی سے کیا غرض اس کو
جس کا عالم قرار کا عالم

اب وہ رنگینیاں نہیں یا رب
کیا ہوا بزمِ یار کا عالم

یاد آتا ہے وقتِ غم اختر
رخصتِ غمگسار کا عالم

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top