dil mein hasrat hai ke darbar e risalat dekhun
dil ki dhadkan ko sunoon shauq ki halat dekhun
apni ankhon se sarkash ma e rehmat dekhun
unka altaaf o karam ki inaayat dekhun
mujhko aa jaayein madine ke sar o baam nazar
main bhi har gaam pe aaina e jannat dekhun
ek muddat se liye baitha hoon main daag e firaq
wo ghadi aaye ke main wasl ki raahat dekhun
meri nazron mein rahe wo rukh e zeba habid
aye khuda main na kabhi roo e qayamat dekhun
Popular Posts
-
Wo Sue Lalazar Phirte Hain 25 views
-
Na Mere Sukhan Ko Sukhan Kaho (Naat) 24 views